Mytahelka

Let's spread the love through shayari

“ZINDAGI” Poetry in Hindi on Life

"ZINDAGI" Poetry in Hindi on Life
Also read (Updated links)
Saat aksharo ka  hai shabd tu,
Par hazaro hai tere nam zindagi
Na jaane kyou aaj darbadar ho rahi hai badnam zindagi
Zingagi,
Ek uljhi ci paheli hai,
Dard or gam to jaise teri ek saheli hai,
Jisne samajh liya tujhe uske liy Khushiyo sa mehka bagaan hai tu,
or jo ulajh ke rah gya tujhme uske lie simta hua ek kabristan hai tu.
 
Pahli saans se aakhri muskurahat ke beech,
jo waqt se churaya tha,
wo pal hai tu
Khusiya or gum jaha se behti hai
waqt waqt pr,
wo sukha pada nal hai tu…
 
Bina ticket ke jo kabhi kia tha,
wo safar hai tu.
jin rasto pr bus chal kr bhatak janne
ko karta hai dil,
wo anjaan dagar hai tu…
bachpan me nahaye the jaha dosto ke sath,
wo nehar hai tu.
mere papa ki aankho me dekha hai jo maine,
wo khwaisho se jagmagata shehar hai tu…
wo waqt bhi yaad hai mujhe,
jb sab apne ho gaye the khilaf hmare,
kayi raate gujari thi hamne bhi,
ghadi ki suniyan nihare.
shayad jo kabhi khayi thi maa ke hatho,
wo sookhi roti or achar hai tu.
ya jo padi thi bachpan me teachers se,
wo pyar bhari dande ki maar hai tu…
Gira kar jisne chalna sikhaya,
khud rula kr jisne hasana sikhaya,
shayad wo maa ki mamta,
wo pita ka pyar hai tu…
Bachpan gujra is soch me ki ho jaounga jab bada,
to zindagi gujregi mouj me.
Jawan hote hi papa ne bhi kah diya,
Beta bheed bohot hai,
bharti hoja ab fouj me…
Dekho na aaj main bhi lag gya hu,
Zindagi ki hod me.
saare armano ko mar ke.
aaj main bhi lag gaya hu
Competetion ki dod me.
 
Ghar ki ROK-TOK se ti aazadi mil gayi hai,
par ab khudme kaid sa ho gya hu main,
na janne zindagi ke konse mod or kho gya hu main.
aate hai aansu palko tak,
pr main ro bhi nahi paata,
Neend to bohoot aati hai raato me,
pr main so bh nahi pata…
naa jane kaisa ye le rahi hai Intehaan Zindagi.
arey jaha marti hai roj laakho khawaushein,
aisa ye samshan zindagi hai.
or log kehte hai,
aasan zindagi hai…
Har taraf ek Udasi ka badal sa chaya hai,
haste hue aaj zindagi ne bhi mera majak udaya hai.
Zindagi ka usool main aaj tk samjh nahi paya,
Ki hasta hu to, aakar rula deti hai.
sota hu to,
aakr jaga deti hai.
ab girta hu to main,
aaksar khud hi uth jata hu.
Har roj zindagi se mai ladne nikal jata hu.
Manjar ho sakta hai bura,
Manjil nahi.
Waqt bura ho sakta hai,
Zindagi nahi…
Gam ke andhero ko cheer kr,
Khushuyo ki sehar hogi meri bhi ik din,
Bas isi umeed me mai,
har roj uth jata hu…
aakhir me bus yahi kehna chahounga ki,
haa hai Zindagi mushkil mere dost,
Par tu kar jaye kuch aisa,
Ki baitha ho tu chup-chap,
or bo jaye teri kamyabi sab kuch,
to tera wo mukam ZINDAGI hai.
Ki tu pada ho bistar pr,
or samne ho mout tere khadi, or aajaye tere chehre pr jo bekhaouf muskan,
to wo muskan Zindagi hai…
Bas itni ci theri panchan Zindagi hai…
Har lamhe ko jeena seekho,
Har zakham ko khud hi seena seekho,
Kai bar manzile musafiro ko mil nahi paati,
or jo karna hai wo aaj karo yaro,
kyouki mout, aksar bata kar nahi aati…
 
Also read (Updated links)

3 thoughts on “ZINDAGI THE BEST POETRY ON LIFE | POETRY BY SAMBHAV JHA | POETRY IN HINDI ON LIFE

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.