Zindagi Shayari on life in english | Zindagi Shayari in Hinglish

“Zindagi Shayari on Life in English” is poetry main aap hinglish ki bahtareen poetries padh sakte hain jo aapko jeevan ki sacchai dikhayangi.
Yah poetry jeevan ka marg darshan karne ke lie bohot bahtareen hai. Inse aap bohot kuch seekh sakte hai or sath hi inhe aap apne dosto ke sath share bhi kar sakte hain vah bhi badi aasani se.
Also Read
Zindagi Shayari on life in english

Kabhi Palko pe aansu hain,
Kabhi lab pr shikayat hai,
magar ai jindagi fir bhi,
Mujhe tujh se mohabbat hai.
Har khwab or har khwahishe puri nahi hoti,
Hr kise ki jindagi main aap jaruri nahio hote.
Khuda se ek dua mangi hai ke jiondagi
Jab bhi mile mohabbat sirf usi se ho.
Sanskar hi kuch aise hain hamare ki,
Dil se utre hue logo se bhi bat karne ki tamij nahi bhulte.
Gaer to aansu puchange
Dhooka dange apne log.
Kuch ladkiyan mahal nahi chahti,
Unke liye unke humsafar ka kandha hi kafi hai.
Zindagi ek kiraye ka ghar hai,
Ek na ek din khali kar ke jana padega.
Zindagi to mahaj ek sangarsh thi,
Khwahishe puri karne jeeta chala gaya
Mila nahi do pak ko bhi sukun jab mila to
aakhiri waqt aagya.
Jab apne sang apno ka pyar hai,
To fir kyo na kahem
Jindagi gulzar hai.
Vo Ladki ab parai ho chuki hai poetry

Yahi tak thi meri uski kahanai
Dahak ke aag ho gai pani
Yahi tak thi meri uski kahanai
Dahak ke aag ho gai pani
Adhar pe sare sapoone ja chuke hai
Nimantran patr chapne ja chuke hain
Baje baje sagai ho chuki hai
Vo ladki ab parai ho chuki hai
Parai hoke gai kahan?
Pata sasural ka Sakhiyo ne poucha
To boli Vo mahel jo sabse ucha
Koi engineers hai vo suna hai
Jo mujhse haisieat me bohot 10 guna hai,
Badi koshi badi car bhi hai
Kisi mantri ka rishtedar bhi hai
Meri choti si duniya me vo rahti to meri jase dukh dard sahti
Mili har cheez jo thi uske kabhil main deta bhi to kya deta?
Mamuli sa Dil?
Ab dil se rihai ho chuki hai
Vo ladki ab parai ho chuki hai
Zindagi Shayari in Hinglish

Kabhi palko pe aansu hain,
Kabhi lab pr shikayat hai,
Magar ai Zindagi fir bhim
Mujhe tujhse mohabbat hai.
Jeevan hame hamesha dusra moka deta hai,
Jise kal kahte hain.
Is duniya me khud ki marji se bhi jeene ke lie,
Pta nahi kitno ko aarji deni padti hai.
Darbadar bhatak rhe hain,
Kuch yun apni jindagi ko dhund rhe hain.
Jimmedariya jab kahdho pr padti hai,
To aaksar bachpan yad aa jata hai.
Zindagi jiska bada nam suna hai humne,
Ek kamzoor si hichki ke siva kuch bhi nahi.
Khvahish ai jindagi bas itni si hai,
Sath tumhara ho or jindagi kabhi khatam na ho.
Zindagi me kuch khatam hona jaruri hota hai,
Kuch naya shuru karne ke lie.
Ai- Gum- Ai-Zindagi na ho naraj,
Mujhe aadat hai muskurane ki.
Jara si Zindagi hai aarman bahut hain,
Humdard nahi koi insan bahut hain,
Dil ke dard sunai to kisko,
Jo dil ke karib hai vo anjaan bahut hain.
Zindagi bhi kitab si hoti hai,
Sab kuch kah deti hai khamosh rah ke bhi.
Jeevan ka mamla bhi ajeeb hai sahab,
Thokar dekar sambhalna sikhata hai.
Zindagi tu hi bata kase tujhse pyar karu,
Teri har ek subha meri umr kam kr deti hai.
Life Shayari in English

Samandar na sahi pr ek nadi to honi chahiye,
Tere sahar me Zindagi kahin to honi chahiye.
Agar sabkuch miljayega zindagi main to tammana kiski kroge?
Kuch adhuri khwahishe hi to zindagi ko jeene ke kabil banati hain.
Zindagi main kuch aisi bhi rat aati hai,
Jahan na neend aati hai or na hi khwab.
Hum hi patthar ke ho gaye ye sochke,
Ki zindagi to ful banegi nahi.
Chal ai zindagi ek nai shuruat karte hain,
Jo umeed dusro se ki thi,
Ab vo khud se kahte hain.
Khush rahne se hi jindagi kamyab hau,
Varna yun to zindagi ka har pal bekar hai.
Zindagi me khush rahne ka sabse accha tarika,
Umeed rab se rakho sab se nahi.
Kabhi Machalta tha ye dil or ab bahut sudhar gaya hai,
Jab se jindagi se bura vakt gujar gaya.
Ajeeb tarah se gujar gai meri bhi zindagi,
Socha kuch tha, Kia kuch or, Hua Kuch, Mila kuch or.
Na Thake hain kabhi per,
Na Kabhi himmat hari hai,
Jajba hai kuch banne ka zindagi me,
Isliye safar jari hai.
Zindagi me kabhi kisi ko apne se kam mat samjho puri duniya ko dubane vala
Samandar tel ki ek moond ko nahi dubo sakta.
Kahte hain ki,
Samay nur ko benur bana dete hain,
Islie vakt ki kadar karo kyuki
Yah koyle ko bhi kohinur bana deta hai.
Kuch na karke joivan bitane se behtar haio,
Kuch galtiyan karke jeevan bitao samman milega.
Jindagi ka sabse Kimti cheez yahan kamai gai Ijjat or samman hai.
Also Read
1 thought on “Zindagi Shayari on life in english | Zindagi Shayari in Hinglish”