Vo Lamha bhi kat jayega poetry by Shubham Shyam
Vo Lamha bhi kat jayega poetry by Shubham Shyam
Khushiyo ka Pal kabhi ruka nahi
Na gum ka badal thahra hai
Manav ke man ke bhao par
Atal samay ka pahra hai
24 ghunte ka din hoga or isi reet ko chalna hai
Subaha suraj ko ugna hai or sham ko jakar dhalna hai
Rat chandni hogi ya rat ka ghana andhera hoga
Fir rat chandni hogi ya rat ka ghana andhera hoga
Tumne mehaz hosla rakhna hai
Fir dhara par naya savera hoga
Mana ki man ke ghao par
Abhi ghana andhera chaya hai
Mana ki umeedo ke dar se
Tumne thokar khaya hai
Jeevan ke sangharshon main mana
Sapne gir kar tut gaye
Apne bhi apne hokar bhi
Mushkil samay main roothgaye
Par man hoga mazboot
Jeevan ki jung main gar datt jayega
Par man hoga majboot
Jeevan ke jung main agar datt jayega
Fir kitna bhi ho waqt bura vo lamha bhi kat jayega
Tum pita ke aankh ke tare ho
Itna tumko yad rahe
Mata ke raj dulare ho
Itna tumko yad rahe
Agar tumko kuch ho jayega
Vo jite jii mar jayenge
Sabkuch dekar ke pala hai
Vo kya parinam payange
Jab bhi kamzori havi ho..maa ki mumta ko yad kar
Jab bhi kamzori havi ho..maa ki mumta ko yad kar
Maa ka mukhda yad aate hi gum ka badal chat jayega
Fir kitna bhi ho waqt bura
Vo lamha bhi kat jayega
Also read (Updated links)
- Har Ek Sankat Ka Hal Hoga Woh Aaj Nahi Toh Kal Hoga Poetry By Shubham Shyam
- Ye Saal Bhi Gujar Gaya| ये साल भी गुजर गया | Poem by Shubham Shyam
Also checkout my other website here
I don’t think the title of your article matches the content lol. Just kidding, mainly because I had some doubts after reading the article.