Mytahelka

Let's spread the love through shayari
Vo mera pahla pyar tha poetry by Amit Singh

vo mera pahla pyar tha poetry by Amit Singh♥️

vo mera pahla pyar tha poetry by Amit Singh♥️



Kahna hai agar bura mujhe

Mere samne kaho

Kahna hai agar bura mujhe

Mere samne kaho

Mere bad jo kahte ho tareef hai meri


Aaina khof me hai jabse tujhko dekha hai

Aaina khof me hai jabse tujhko dekha hai

Bewafa sabd ka insani mayena hai tu

Bewafa sabd ka insani mayena hai tu


Kase kase lubha rhe hain mujhe

Kase kase lubha rhe hain mujhe

Husan vale bula rhe hain mujhe

Tum bulao to koi bat bane

Acche acche bula rhe hain mujhe

Or Mar na jaye kahin dar ye lagta hai

Mar na jaye kahin dar ye lagta hai

Apni kasme khila rhe hain mujhe


Ai mere dost teri dosti niyamat hai

Kyu mohabbat kar ise badnam karu

Kyu mohabbat kar ise badnam karu

Ye karo vo karo na karo kya hai

Ye karo vo karo na karo kya hai

Main mohabbat ke alava bhi to koi kam karu

Main mohabbat ke alava bhi to koi kam karu


Bada aasan hai pana mujhko

Fakat hai khab me aana tujhko

Bada aasan hai pana mujhko

Fakat hai khab me aana tujhko

Gamzada zindagi nahi hogi

Seekh rakha hai manana tujhko

Sangmarmar si teri baho main

Makbare taj banana mujhko

Ai kash mujhe mohabbat ho jaye

Koi to kahe diwana mujhko

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.