Mytahelka

Let's spread the love through shayari
Uske kiye pr shyd kisi or yakin na ho Poetry by Jha Sahab

Ishq nahi Vyapar kiya tha usne Shayari

Ishq nahi Vyapar kiya tha usne Shayari by Jha sahab
 

Also Read (Updated links)

Vafa ke badle ab main kisi ko vafayen nahi dunga

Main is nazam me use baddua nahi dunga

Vafa ke badle ab main kisi ko vafayen nahi dunga

Main is nazam me use baddua nahi dunga

Vo chahe to bhar le sare zakham apne

Magar main apne zakhmo ko davaen nahi dunga

 

Vo jisne meri mohabbat ka ye anjam kiya hai

Duniya bhar ke dard ka mere lie intjam kiya hai

Ek vo hai jisne kabka bhula diya hai mujhe

Ek main hu jisne firse ek nazam uske nam kiya hain

 

Uske sohbat se mile dard me kabhi kami na ho

Uske kiye pr shyd kisi ko yaki na ho

Or main is lie nahi leta uska nam meri mazmo main

Kahin uska sohar meri nazmo ka shokeen na ho

 

Ishq nahi vyapar kiya tha usne

Munafa dekh kr pyar kiya tha usne

Ishq nahi vyapar kiya tha usne

Munafa dekh kr pyar kiya tha usne

Meri hasi meri khushi dono ko mar diya

Ek hi teer se 2 shikar kiya tha usne

Kher meri khushiyo me uski bhi hissedari thi

Bewafa ke sath sath vo bahar shikari thi

Hamari is halat ke zimmedar hum khud hi hain

Kyuki is rishte ke lie rajamandi bhi to hamari thi

Kher us udte hue parinde ko kabhi to zameen mile

Vo bewafa agar bahtar hain to use bahtareen mile

Us udte hue parinde ko kabhi to zameen mile

Vo bewafa agar bahtar hain to use bahtareen mile

In aankho se main dekh lu sato fere uske

Fir kisi kabar me mujhe jee bhar ke sukun mile

Usne kha fir mere zuban pe kabhi uski bat na aaye

Usne kha fir mere zuban pe kabhi uski bat na aaye

Ye kahan mumkin hai ke barsat ka mosam ho or barsat na aaye

Usne kha fir mere zuban pe kabhi uski bat na aaye

Ye kahan mumkin hai ke barsat ka mosam ho or barsat na aaye

Ke usne mujhse bewafai ki ye mukaddar tha mera

Khuda kre ke uske dar pe kabhi kisi bewafa ki barat na aaye

 

Mujhse bichad kr vo gul gulshan ho jaye

Uski shadi dekhu or meri sanse meri dushman ho jaye

Mere marne pr tum sab itna jashan manana yaro

Ke meri tervi uski barat se jada Roshan hojaye

Also Read (Updated Links)

4 thoughts on “Uske kiye pr shyd kisi or yakin na ho Poetry by Jha Sahab

  1. Your article made me suddenly realize that I am writing a thesis on gate.io. After reading your article, I have a different way of thinking, thank you. However, I still have some doubts, can you help me? Thanks.

  2. Your article gave me a lot of inspiration, I hope you can explain your point of view in more detail, because I have some doubts, thank you.

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.