TUMHARE BAD AB IS JAAN KA KYA KARANGE POETRY BY NEHA RAI
TUMHARE BAD AB IS JAAN KA KYA KARANGE POETRY BY NEHA RAI
Ab to tumhare bina hi guzara karna hai
Mujhe is nazm me zikr tumhara karna hai
Ab to tumhare bina hi guzara karna hai
Mujhe is nazm me zikr tumhara karna hai
Mere hisse ki mohabbat mane tumse karli
Ab kaha hume ishq dubara karna hai
Tumhare bad in aankho me ab aasu palte hain
Kher bochad jaye parande to fir kahan milte hain
Tumhare bad hum murjhaye the murjhaye hi rahange
Bhala murjhaye hue fool kahan khilte hain
Fir bhi tumhare khushiyo ki hum dua karte hain
Kyoki Tut kar chahne vale aise hi hua karte hain
Tumhare jane ka gum islie bhi nahi kiya mane
Tumhare jane ka gum islie bhi nahi kiya mane
Aakhir bewafa bhi to kisi se wafa karte hain
Kher mere bagar tum khush ho to isse badi khushi kya hogi
Kher mere bagar tum khush ho to isse badi khushi kya hogi
Maine kato ko chaha to meri foolo se dosti kya hogi
Socho jis ladki ne tumhe jate hue roka tak nahi
Isse badhkar us ladki ke lie khudkushi kya hogi
Kher meri chodo mere lie jeena to ab majburi hai
Kher meri chodo mere lie jeena to ab majburi hai
Magar tum huste rahna tumhara hasna mere lie zaruri hai
Tum to apni mohabbat kahi mukammal bhi kar loge
Magar meri mohabbat adhuri thi or adhuri hai
Tum jiske sath bhi raho tum apni khushiya uske sath aadhi kar lena
Meri bat suno to tum usi sehzadi ke sath shadi kr lena
Mohabbat Sochi thi ab mohabbat ke anjam ka kya karange
Mohabbat Sochi thi ab mohabbat ke anjam ka kya karange
Tumhe Jaan Jaan kahte the, tumhare bad ab apni jaan ka kya karnage
Khuda kare meri jaan usi rat nikle
Jis rat meri gali se teri barat nikle