Tujhe Ehsaas Nahi Shayad sad Poetry by GOONJ CHAND | Goonj Chand New Poetry
Tujhe Ehsaas Nahi Shayad sad Poetry by GOONJ CHAND
Also read
- Vo meri aankho ke samne kisi or ki ho rahi thi poetry by Goonj Chand
- Tumhare dulhe ko ek tohfa dange Poetry by Mickey Singh
Vo waqt vo bate vo yade vo lamha…
Kahin guzar chuka hai
Or tujhe ehsaas nahi shayad
Pr bahut kuch badal chuka hai
Shayad tujhe yad nahi ke pahle hum kase rahte the
Duniya ki parvah nahi bss jase the vase rahte the
Befikr hokar tere sath waqt bitati thi main
Choti ho ya badi sabse pahle tujhe hi hr bat btati thi main
Tab tu bhi mere sath hamesha khush rahta tha
Or aaksar hasa deta tha mujhe jab mera chahra mayuss rahta tha
Mayuss hoti hu jb jb tb tera Wait hota hai
Pr ab mera mayus chahra dekh tu bhi bas irritate hota hai
Vo ruthne mnane vala waqt kahi gujar chuka hai
Or tujhe ehsaas nahi shayad bahut kuch badal chuka hai
ye to hamesha se suna tha mane ke waqt bahut jaldi guzar jata hai
pr ye nahi pata the mujhe ke ishq karne ke bad insan itni jaldi badal jata hai.
Ke abhi kal hi ki to bat hai jab main tumhare sath befiqur hokar has rahi thi
Or duniya ki parvah kiye bina tumhare lie sabse lad rahi thi
Or tumhe bhi to tab mujhpar be intahan pyar aata tha..
Kitna bhi ladte the tum mujhse pr last me tumhe mere pass hi karar aata tha
Kya meri tarah tumhare dil me ye khayal nahi aata
“Kase badal gya itna kuch hmare bich” kya kabhi tumhare man me ye saval nahi aata
Or agar aata hai to tum kabhi is bare me bat q nahi karte
Or aapni taraf se tum kabhi ek acchi survat q nahi karte
Ke main firse tumhare sath vo purani jindagi jeena chahti hu
Or tumhare hatho me apna hath rakh befikr hokar tumhare sath chalna chahti hu
Zara gor se dhudho to sahi vo purana ladka tumme hi kahi kho chuka hai
Or tumhe ehsaas nahi shyad bahut kuch badal chuka hai.
Tumhe pata tha na ke mujhe pahle bhi kisi ne toda hai
Or maine us bewafa ko bhi badi mushkil se choda hai…
Ke tumhe pata tha na ke mujhe pahle bhi kisi ne toda hai
Or maine us bewafa ko bhi badi mushkil se choda hai…
Mujhse laga tha main is dard se kabhi ubhar nahi paoungi
Or aisa pyar fir se kisi se kar nahi paoungi
Pr tumne mere lakh mana karne pr bhi har nahi mani
Or mane bhi aakhir me dil ki suni dimag ki nahi mani
Aisa laga mano barso bad dil ke us hisse me roshni gai thi
Jha barso se aandhero ka saya tha
Or aakhir me usi jagha ko khola tha tumne
Jahan mane us bewafa ko dafnaya tha
Kitni takleef hoti hai kisi ke badal jane se
Kash main tumne ye samjha pati or in rishto me padi in gatho ko main akeli hi suljha pati
Par umeed karti hu tumse ke tum meri bato ki gahraeo ko samajh pao..
Or tum bhi mere sath milkar is uljhe hue rishte ko suljha pao
Qki bas ye sochne samajhne me hi
Bohot waqt nikal chuka hai pr ehsaas nahi gaye shyd
Ke bohot kuch badal chuka hai
Ke vo waqt, vo bate, vo yade, vo lamha kahin gujar chuka hai
Or ehsaas nahi tumhe shyad ke bohot kuch badal chuka hai
Also read
At the beginning, I was still puzzled. Since I read your article, I have been very impressed. It has provided a lot of innovative ideas for my thesis related to gate.io. Thank u. But I still have some doubts, can you help me? Thanks.