TO KYA ITNA KAAFI HAI BY KARAN GAUTAM | TUMHARA HONA BHI NA HONE KE BARABAR HAI POETRY
TO KYA ITNA KAAFI HAI BY KARAN GAUTAM
Is qadar tute hain ke koi gunjaish nahi bachi…
Is qadar tute hain ke koi gunjaish nahi bachi…
Tumhara alava jindagi me koi khwahish nahi bachi
Mohabbat tumhare lie Sone ke barabar hai..
Tumko pana bahas khone ke barabar hai…
Mohabbat tumhare lie Sone ke barabar hai..
Tumko pana bahas khone ke barabar hai…
Tum sath ho to mujhe aanhas q nahi…
Tumhara hona bhi na hone ke barabar hai
Gareeb ki kismat hi khoti milti hai
Mahnat ke anusar aamdani choti milti hai
Gareeb ki kismat hi khoti milti hai
Mahnat ke anusar aamdani choti milti hai
Dinbhar khoon paseena ek karte hai
Tab jakar rat ko khane me aadhi roti milti hai
Sanse dhadkan ke thikane rahti hain
Ek muskan tere bahane rahti hai
Sanse dhadkan ke thikane rahti hain
Ek muskan tere bahane rahti hai
Dinbhar to sath rahti hi hai tu
Rat ko ek tasveer sirhane rahti hai
Koi bohot tang bohot pareshan rahne laga hai
Zamana ye dekh kar haran rahne laga hai
Koi bohot tang bohot pareshan rahne laga hai
Zamana ye dekh kar haran rahne laga hai…
Kisi mahal me khilkari shor sharaba tha kabhi
Deko vo aaj kitna veran rahne laga hai
Tumhara najariye ko pdh kr savar dega aaina
Chahre par ek alag sa nikhar dega aaina…
Tumhara najariye ko pdh kr savar dega aaina
Chahre par ek alag sa nikhar dega aaina…
Tumhe dekh kar jeene ki khwashish me jana
Tumhe dekh kar zindagi guzar dega aaina
Main agar samne se aakar tumhe izhar karu
Main agar khud se bhi jada tumse pyar karu
Main agar rakhu tumhe palko par apni
Agar khuda se pahle tumhara deedar karu
To kya itna kafi hai?
Main agar tumhare samne hi tumhe yad karu
Main agar har waqt tumhari hi bat karu
Main agar karu tumhare nam har din apna
Main agar tumhare hi nam har rat karu
To kya itna kafi hai?
Main agar aankho me aankhe dale bathu
Main agar dilko har waqt samhale bathu
Main agar karud zindagi nam tumhare
Main agar jaan hatheli pr nikale bathu
To kya itna kafi hai?
Main agar khwabo me tumhare aaya karu
Main agar hatho se tumpar saya karu
Main agar karu sajda tumhare lie or har sajde main tumko paya karu
To kya itna kafi hai?
Main agar tumhari muskan ke lie bikta rahu
Main agar har pal tumhe dikkhta rahu
Main agar padu mahfilo me tumhare lie
Main agar tumhare lie hi likhta rahu
To kya itna kafi hai?
Jab tak nadhiyo me pani hai,
aankho me harani hai,
Raja ki rani hai,
Pariyo ki kahani hai,
Sanso me ravani hai,
Meera deevani hai,
Tab tak tera rahunga main
Ke jab tak suraj hai chanda hai tare hain samandar hai kashti hai kinare hai mandir hai mazid hai guru dware hain
Tab tak tera rahunga main
Jab tak ye hava hai roshni hai fizaye hai dard ki dava hai tu jo khafa hai tera rahunga main
Jab tak kalam me syahi hai raho me rahi hai pahado me khai hai aaya hai aai hai
Tab tak tera rahunga main
Jab tak roshan ye chirag hai bharavi rag hai sarso ka sag hai chulhe me aag hai
Tab tak tera rahunga main
Jab tak vidhayalay me bacche hai akal ke kacche hai nibba nibbi sache hai uske bad bhi acche hain
Tab tak tera rahunga main
Jab tak ye kainat hai din ke bad rat hai zuban pe teri bat hai sir pr uska hath hai tab
Tak tera rahunga main
Ke jab tak filmo me gane hai papa me tane hai chor hai thane hai tere bahane hai
Tab tak tera rahunga main
Jab tak diya main bati hai jeevan me sathi hai jangal me hathi hai besura tu gati hai
Tab tak tera rahunga main
Jab tak kancho ka khel hai gadi hai rail hai balo me tal hai aapradhiyo ki jail hai
Tab tak tera rahunga main
Your point of view caught my eye and was very interesting. Thanks. I have a question for you.