Mytahelka

Let's spread the love through shayari
Tab Hath Lagao Mujhe | A poem of love and rebellion by Shubham Shyam

Poem of love and rebellion, inspired by Lord Krishna and written by Shubham Shyam

Tab Hath Lagao Mujhe | A poem of love and rebellion by Shubham Shyam

 

Basuri ki dhun par thirakta tha har koi
Vrindavan ki ek ek gopi sri krishan ki deevani thi…
 
Basuri ki dhun par thirakta tha har koi
Vrindavan ki ek ek gopi sri krishan ki deevani thi…
 
Pakatkar bhagwan ne bhi ki sabse bepanah mohabbat,
Vrindavan ki rasleela us krishan ki nishani thi
 
Hamne to suna hai sri krishan ne radha ka varan kiya ..
Hamne to suna hai sri krishan ne radha ka varan kiya ..
Fir hamne bhi to use aadarsh ka anusaran kiya hai
 
Han, main mujrim hu mohabbat ka, Zinda jalao mujhe…
Par pahle phook do radhe krishan ki moorti fir hath lagao mujhe
Aasabhay hain tumhare aadarsh jo ishwar ke aadhe swaroop ko swikar karte ho…
Aasabhay hain tumhare aadarsh jo ishwar ke aadhe swaroop ko swikar karte ho…
Geeta ka anusaran karne valo ko dharam bna diya or pyar karne valo ka bahishkar karte ho
Arey ishwar ne swayam kaha hai sneh mukti ka marg hai, karuna dharm ki aatma…
Ishwar ne swayam kaha hai sneh mukti ka marg hai, karuna dharm ki aatma…
Aarthat mohabbat tak ka seekh jao mil jayange parmatma
 
Ishwar ne swayam kaha hai sneh mukti ka marg hai, karuna dharm ki aatma…
Aarthat mohabbat tak ka seekh jao mil jayange parmatma
Han, Main apradhi hu adarsho ke anusaran ka suli par chadhao mujhe
Han, Main apradhi hu adarsho ke anusaran ka suli par chadhao mujhe
Par pahle fad ke fek do mahabharat ke un panno ko…
Tab hath lgao mujhe.

1 thought on “Tab Hath Lagao Mujhe | A poem of love and rebellion by Shubham Shyam

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.