Mytahelka

Let's spread the love through shayari
“Sarhad” Poetry by Nidhi Narwal | Sarhadein ke updar ke poetry | Nidhi Narwal

“Sarhad” Poetry by Nidhi Narwal

"Sarhad" Poetry by Nidhi Narwal


Sarhad langhna… Sarhad langhna…youdh or ashanti ko muft ka nyota dena hai…

aisa hi kuch ab tk mane kitabo me padha or samjha hai

devi seeta ne laxman rekha langhi to kya hua ye koi razz nahi hai.

Betiyan aangan ki char divariyo se ek inch bhi dur ka sapna agar dekh le to unke ghar valo ki neend haram hoti hai is soch se ke samaj ke lambe nakhoon unhe na noch le

or bahue mangal sutr tay kari hui khokli hado ko par karne nikalti hai to dhitkari jati hai

jane  kya kya kah ke pukari jati hai

log aaksar yah kahte hai ke apni had or seema se bahar kadam rakhne ke itne acche nahi hote natije

pr fir bhi main dekhti hu ke mere khayalo ki had main hu

or mere khayal mujhe cheer kar nikalte hai to siyahi or safe ki sohbat pakar ve kavita ban jate hain

Parinde jb kafaz se choot jate hain to vo or ucha udkar dikhate hai mano punjro ki bedio se kah rahe ho ki hum udna bhoole nahi hai dekho

Khwab aankho ko langh kar jab kadmo ko pakad lete hai

or unhe apne mutabik chalate hai tab banda chalta nahi hai balki nachta hai

ek tara jb aasman hi hado ko langh kar jameen par girne nikalta hai to girte girte bhi vo ek akela jane kitno ki hasrate mukammal karta hai.

 ye Nadiyan jis dharti par hain us dharti ko bant kar uske tukde kar chuki hain

zameen ke jism pr sarhade hamne bnai hain magar nadio me bahta ye neer, jo humne nahi bnaya

in tukdo ko aapas me jod deta hai, ye pani sema ke upr se bhi seena tan ke bahta hai

or to or is suraj ki kirne is chanda ki chandni agar prithvi ki seemao ko par hi na karti to kya humtak pahuch pati?

Is saval ke jawab se vakif hokar bhi log kahte hain “Apni had or seema ke bahar kadam rakhne ke itne acche ni hote nateeje”.

Insano ne sabse bahrat tareeke se agar kuch bnana seekha hai to vo hai sarhade

main kahti hu tum bahtareen tareeke se yahi sarhade langho, tum ek kavita ban jao ya parinda ban jao ya banjao tum surya se nikalti suiya ya ye samjho tum hava ho ya baho nadhi ke neer ki tarah

ya koi khwab hi ban jao pr apni sarhad langho.

Jao apni sarhad langho…

Me had keval main hu or tumhari had ho keval tum apna aangan apna suraj apni seema apna chanda apna pinjra apni parvaj apna aakash bhi keval tum ho…

1 thought on ““Sarhad” Poetry by Nidhi Narwal | Sarhadein ke updar ke poetry | Nidhi Narwal

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.