Sad Shayari For Life By Hamza Ibrahim Beat Status
Humza Ibrahim ek aisi shakshiyat hai jinhone apni kahaniyon aur shayariyon ke zariye logon ke dil me apni jagah bana li hai. vah ek blogger, shayar, aur social media influencer hain, aap ko Youtube pe inke kai vlogs or interviews bhi mil jayange.
Huma ki shayari aksar Hindi or Urdu main hoti hai jise vo kai alag-alag social media platforms me share karte rahte hain jase Instagram aur Twitter. Unki shayariyon mein aksar pyar, dard, aur zindagi ke muddon par zor diya jata hai
Sad Love Poetry by Humza Ibrahim
Wo tha zamana guzar gya kabka,
Wo tha diwana mar gaya kabka,
Mera jo zakham hai wo wohi jane,
Apna to Zakahm Bhar gya Kabka.
Mere Bad ishq mere naye ladke tumhara badan to chumange,
Magar zulfe nahi savarange.
Kisi apne ne kha ke hunar nahi hai tumme,
To gaero se kahelva diya honhar ho tum,
Itni gaer zimedari se dil toda mera,
Ke aaj meri kamyabi ke zimmedar ho tum.
Kya Maza hai us jeet ka jo har kar agar na ho,
Tu bat kar foolo ki or kanto ka zikar na ho,
Adhuri lagti manzile jab lamba sa safar na ho
Hath Khali hai tere sahar se jate jate,
Jaan hoti to jaa bhi lutate jate
Ab to is saher ka har patthar mujhe pahchanta hai
Umr guzri hai tere sahar se aate jate
Hath khali hai tere sahar se jate jate.
Sad Shayari For Life By Hamza Ibrahim
Meri hojao ya mujhe barbad kardo,
Mere kal ka fasla tum aaj kardo.
Zindagi me zindagi rhi to zinda rha,
Na tu mila suku mila to zinda rha.
Aagaz (Shuruaat) se hi mujhe to Anzam (Natija) ka gum hai,
Kuch nam ka hai to kuch kam ka gum hai,
Mohabbato ko mar de ilzam ka gum hai
Tuta dil hi jane dhalti shyam ka gum hai,
Kuch pyar ka gum to kuch yar ka gum
Jo duniya me na rha uski yad ka gum
Jo sawal hi na kiya uske us jawab ka gum
Zindagi me Zindagi ke bad ka gum.
Aine se parda karke dekha jaye,
Aaj khud ko tanha karke dekha jaye
Deevaro ko chota karna mushkil hai agar,
To khwabo ko bada karke dekha jaye
Usko jhoot lage mere sare vade agar
To har vade ko saccha karke dekha jaye
Kabhi na milte hain kisi ko marjiyo se
Jo bante zindagi ne patte khele ja rha hu main
Gira ke khwab ke makan mahal bana rha hu
Dard jo mila hai usko beche ja rha hu
Sadak chap Ghalib main na kisi ka mukhalib
Lafzo ko kitabo pe kurede ja rha hu main
Gira ke khwab ke makan mahal bna rha hu.
1 thought on “Sad Shayari For Life By Hamza Ibrahim Beat Status”