Mytahelka

Let's spread the love through shayari

Na Nar Me Koi Ram Bacha Nari Me Na Koi Seeta Hai by-Shubham shyam

Na Nar Me Koi Ram Bacha by-Shubham shyam

Na nar me koi Ram bacha

Nari me  na koi Seeta hai

Na nar me koi Ram bacha

Nari me na koi Seeta hai

Na dhara bachane ke khatir vish koi Sankar pita hai…

Na nar me koi Ram bacha

Nari me na koi Seeta hai

Na nar me koi Ram bacha

Nari me na koi Seeta hai

Na dhara bachane ke khatir vish koi Sankar pita hai…

Na Shree Krishan sa dharam adharam ka  kisi me gyan bacha hai

Na Shree Krishan sa dharam adharam ka  kisi me gyan bacha hai

Na Harish Chandra sa saty kisi ke andar racha basa hai

Na Gautambuddh sa dhary bacha

Na Nanak ji sa param tyag

Bas nach rhi hai nar ke andar pratishodh ki kutle aag

Fir bolo us swarnim youg ka kya ansh baki tumme

Fir bolo us swarnim youg ka kya ansh baki tumme

Ki kiski dhuni me ramkar tum fule nahi samate ho

Tum swayam ko strasth btate ho…


Tum Bhisham pitama ki bhati apni hi zid pr aade rhe…

Tum Bhisham pitama ki bhati apni hi zid pr aade rhe…

Tum Shakuni kr sadyantro se ghrinit rhe tum dang rhe

Tum Karn bhati hoke bhi Duryodhan dal ke sangh rhe

Tum Shakuni kr sadyantro se ghrinit rhe tum dang rhe

Tum Karn bhati hoke bhi Duryodhan dal ke sangh rhe

Ek Duryodhan fir satta ke lie youdh me jata hai

Kuch dharmandho ke andar thoda dharm jagata hai

Fir dharm ki chilam me nafrat ki chingari se aag laga kar,

Charas ka dhua fuk fuk matvaale hote jate ho 

Tum swayam ko strasth btate ho…

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.