MERE ISHQ KI SHADI THI POETRY – SHAYNA SAYYED
Also Read (Updated Links)
- Hop into Spring with Joyful Easter Celebrations – Your Ultimate Guide to Egg Hunts, Decorations, and More!
- Get ready to celebrate Holi with these wishes, images, and essential information
Mera mahboob Poetry
Mera mahboob kisi mahtab sa lagta hai
khab me hakikat hakikat me khab sa lgta hai
2 Liner Poetry
Humne tumse kuch nahi chupaya
Humne tumse kuch nahi chupaya
Ye kahkar usne fir kuch chupaya
Accha ha dekhi hai mane vo heer
Jo tumhare ghr vale laye hain
Tumse pahle tumhari shadi ki khabar vo mujhako laye hain
Tumne sirf tasveer dekhi thi unhone mujhse milvaya hai
Tumse kasi bate karni hai
Ye mujhse sikhvaya hai
MERE ISHQ KI SHADI THI POETRY BY SHAYNA SAYYED
Mere ishq ki shadi thi ya meri barbadi thi
main dekhne aai jo tujhko
kho aai main khud ko
tujhko haldi jab jab lagegi
mera zakham gahra hoga
tujhko mehandi jab uski lgegi surk aankho me rang hoga
rate jage glue packaging har jagah
tab tumhari gul jalegi har dafa
jab tum shishe se dekhoge usko
mera aks dikhega tumko
jab gule chaddar hategi
main tumko dikhai dungi
jab tum usko kubul karoge
hamare vade sunai dange
jab tumhare sath vo ruksath hogi
mere ishq ki sahnai bajegi
or teri barat ke patako main
mere aahsas ki arthi uthegi
mere aansu lahu banange
bahainge ye katra katra
palko se girange ruksar par aakar rukange
dundli se aankho se fir main tujko judai dungi
ya yun kahun ke ane vajood ko rihai dungi
jab tu, rishtedar, yar band baja barat lekar aayange
dil khol kar nachungi main
mujhko kasam hai teri
puri rat nachungi main
na ghungu ki zarurat na bediyan hogi
na ghungu ki zarurat na bediyan hogi koi
zanjeer lakh bandhe zamana tano ka
behayai ka ghunghat oodh
sari rat nachungi main
mere khabo ka zanaza uthte hue
khud ke vajood ko kafan me lipte hue
dekhungi tujhe ghodi se utarte hue
kahin or jate hue kisi or ka hote hue mujhse dur jate hue
fir aarju ko tamam karke
khudko tere nam karke
main banungi jogan or tera hi jog lungi
ye har koi kahiga mujhko
ye ladki pagal ho gai hai
Jog lagata kahna ha main to ji mira hogi
Vo sahjada jasa saja tha jiski main sahjadi thi
mere ishq ki shadi thi ya meri barbadi thi
2 Liner Poetry
Kash kisi din koi kash pura ho jaye
main use mangu or vo mera ho jaye
Also read (Updated Links)
2 thoughts on “MERE ISHQ KI SHADI THI POETRY – SHAYNA SAYYED”