Mytahelka

Let's spread the love through shayari
Life partner shayari by Azhar Iqbal
Urdu Life shayari by Azhar Iqbal

Azhar Iqbal ek shayar hai jinhone kayi nazmein aur ghazalein likhi hain. Unki shayari kaafi logon ko pasand aati hai aur unke shayari ke kuchh khayal behad prabhavshali hote hain. Aisi hi kuch shayari ko Mila ke humne tayar ki hai “Life partner shayari by Azhar Iqbal” post.

Azhar Iqbal ki shayari mein kayi alag alag vishay aur paristhitiyon ke baare mein baat ki jaati hai, jaise ki zindagi, pyaar, tanhai, aur insaani rishte. Unki shayari ki bhaavukta aur vicharon ki gehrai aksar sunne waalon ke man ko chhoo leti hai. Aisi hi unki kuch best shayari aaj hum aapke lie leke aaye hain.

Also read

Urdu Shayari in hindi 2 lines on life

Oos ki tarah jhil milaya kar,

Geele balo ko mat sukhaya kar…,

Oos ki tarah jhil milaya kar,

Geele balo ko mat sukhaya kar…,

Aankh fir waqt par nahi khulti,

Apni baho me mat sulaya kar

Dhoo me jal rha zisam mera,

Tu agar ped hai to saya kar,

Dhoo me jal rha zisam mera,

Tu agar ped hai to saya kar,

Jane kis kis ko chukar aate hain,

Jane kis kis ko chukar aate hain,

Hath ladko se mat milaya kar,

Or choot jate hai sab zaroori kam,

choot jate hai sab zaroori kam,

Mujhe bato me mat lagaya kar.

Tujhko pa lene ki khwahish ka gamman karte hue,

Tujhko pa lene ki khwahish ka gamman karte hue,

Rat guzri hai chintan Manan karte hue

Urdu Life shayari by Azhar Iqbal

Jane vo bacche Khan kin rasto par kho gaye,

Jane vo bacche Khan kin rasto par kho gaye,

Jo bade boodho ko jate the Naman karte hue.

Prem Pooja se bhi badhkar hai to fir ye Jan ko

Zahar bhi peena pdega aachman karte hue

Kitna singhasan hai unke waste pratiksharath sochte hai ram kab man ko gaman karte hue.

Ha vahi zisse hmara aatmik sambandh tha,

kho diya use humne ek din badan karte hue,

Jane vo bacche Khan kin rasto par kho gaye,

kho diya use humne ek din badan karte hue.

Hami se apna saval rakha nahi gya hai,

Hami se apna saval rakha nahi gya hai,

Isi lie to khayal rakha nahi gya hai,

Tamam rishto ke huck Ada karna chahta tha

Tamam rishto ke huck Ada karna chahta tha

Koi bhi rishta bahal rakha nahi gya hai

Ye tay hua hai ke ger mashroot ho mohabbat (Unconditional love) sudarmiya me visal rakha nahi gya.

Bichad gaye haste khelte abki bar humlog

Bichad gaye haste khelte abki bar humlog

Dilo main apne malal rakha nahi gya.

Or mohabbato ke uruj pr khudkhushi karange

Mohabbato ke uruj pr khudkhushi karange

Mohabbato main zaval rakha nahi gya hai

Gazal kisi or kafiyat main hui hai Azhar,

Nazar main uska Jamal rakha nahi gya hai

Continue reading…

3 thoughts on “Life partner shayari by Azhar Iqbal

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.