Khwaahishein Poetry Lyrics by Nidhi Narwal
Khwaahishein Poetry Lyrics Video
Nidhi Narwal ki or poetry padhe
- I Love You T&C Applied Poetry | Best Valentine poetry by Nidhi Narwal
- “Sarhad” Poetry by Nidhi Narwal | Sarhadein ke updar ke poetry | Nidhi Narwal
Khwaahishein Poetry Lyrics
Le dakar ek hi to zindagi hai
Ke le dakar ek hi to zindagi hai
Or dil jane kya kya karna chahta hai
Kisi ko dekh kar jeena chahta hai
to Kisi ke khatri marna bhi,
Kisi ke ghar me rahna hai isko
To kisi ke sath hai ladna bhi
Kisi ke nam pe pagal hona hai
Kisi ki galio me khona hai
Kisi ki baho me jagna hai sona hai
Or puri tarah tut jane se pahle
Kisi ka puri tarah se hona hai
kisi ki bat pr hasna hasrat hai
kisi ko bat bat pr hasana bhi hai
kisi ko bat pe rona hai mujhko
ke kisi ko bat pe rona hai mujhko
Ek shaksh ko jamkar rulana bhi hai
kisi ko apna dost banana hai
kisi ko apna dost banana hai
kisi ko bath kr fursat se apna kissa sunana hai
Kisi ki dat khani hai
To kisi ko apna gussa dikhana hai
Or Kisi ko uske girjane se pahle (Chahe vo girne vala koi shaksh ho ya mera koi aasu, use farishta bankar bachana hai)
In aankho me khwab sajane bhi hai,
In aankho se khwab bahane bhi hai,
Kuch jimmedari kuch nate hai mere
vo kisi kisi se nibhane bhi hai
Kisi ke sangh sari rat jagna hai
mahtab ko jeebharke takna hai
Mar Jane se pahle na
Meri ek khwahishe ye bhi hai ke is seene me is dil ki jagha kisi ke aahsas ko rakhna hai,
Ke is seene me is dil ki jagha kisi ke aahsas ko rakhna hai,
Ek phool pr kavita likhni hai
Ek kavita se phool ugane hain,
Zindagi ke rooth jane se pahle mujhe roothe yar manane hain
Zindagi ke rooth jane se pahle mujhe roothe yar manane hain,
Ek ajnavi se bat karni hai
Ek galti ko sudharne ki kam se kam shuruaat karni hai,
Kisi ki ek yad bachani hai mujhe
Or ek yad hai mujhko bhulani bhi
Ek bat ka halla karna hai zoro se
Or ek bat hai mujhko dabani bhi
Maa ki god me sar rakh kr apne har jhoot ka such batana hai,
Maa ki god me sar rakh kr apne har jhoot ka such batana hai.
Kisi ke lie gana gana hai
Ek saste khwab ko pura karna hai,
Ke Maa ki god me sar rakh kr apne har jhoot ka such batana hai.
Kisi ke lie gana gana hai,
Ek saste khwab ko pura karna hai
Apne muflis (Poor) bap ki khatir
Ek mahange khwab ko wapus sulana hai
More Nidhi Narwal’s Poetry
- Nidhi Narwal’s Poetry “Andheraa” | Heart tuching Poetry
- Nazar ko sharab likhna chahti hu poetry by Nidhi Narwal
Agar aapko yah poetry (Khwaahishein Poetry Lyrics by Nidhi Narwal) pasand aai hai to aap Nidhi Narwal ki baki poetries bhi try kar sakte hain jha aapko Khwaahishein Poetry Lyrics by Nidhi Narwal ki hi tarah or acchi poetries padhne ka moka milega
2 thoughts on “Khwaahishein Poetry Lyrics by Nidhi Narwal”