JANE TUM KAHA CHALE GAYE BY KARAN GAUTAM | SAD POETRY by LEKHAKRANG | LIFE STATUS
JANE TUM KAHA CHALE GAYE MUJHE YE LEKHAKRANG NAM DEKAR BY KARAN GAUTAM
Tu zahan me kisi pahar me nahi hai…
Zindagi khof-e-kahar me nahi hai
Sabhi foolo se khushbu ja chuki hai ab
Sabhi foolo se khushbu ja chuki hai ab
Jabse tu is sahar me nahi hai
Sabhi foolo se khushbu ja chuki hai ab
Jabse tu is sahar me nahi hai
Main kya rahunga apne dayere me Sanam
Mera likha hua tk pahar me nahi hai…
Mere Kano me idhar udhar kahi se agar tera nam pad jata hai to main Doda chala aata hu chahe jahan bhi jis bhi halat me rahu
Meri mohabbat me mujhe pura Huck hai ke main tumse hr cheez ka pura javab mangu na ki kisi savalat me rahu
Mere savalo ka javab jo tumse aata hai vo bhi kisi saval se kam nahi hota
Jo agar ek ho jate hum tum to ye rishta bhi kisi misal se kam nahi hota
Pr teri bewakoofiyo ke chakkar ne mujhe har kadam pe majboor Kiya hai
Main kisi se bat tk karna pasand nahi karta or to or khud se bhi door kiya hai
Tanha sahma sa ghar ke kamre ke kisi chote se kone me ek jagha hai meri
Rote rote jab aasuo ko pochta hu or sochta hu ke, “Shyd yahi saza hai meri”
Par jab sochta hu ke meri saza to mil gai hai mujhe
Tumhari bhi to koi saza hogi,
Usne khud hi to nahi chuma hoga tumhe, isme tumhari bhi to raza hogi
Vajah hogi mujhse koi na koi, mujhse dur jane ki vo bat alag hai ke tum batana nahi chahte
Aadat se kitne majboor ho ke har bar satakar kahte ho satana nahi chahte
Chal bas yahan apni Nazam ko khatam karta hu or likhne ko kuch baki nahi hai
Duniya ki badi se badi saza bhi mil jaye tujhe to mere lie to vo bhi kafi nahi hai
Teri sari hi galtio ko maf kiya hai khud hi ko ilzam dekar
Jane tum kahan chale gaye mujhko lekhakrang nam dekar.