Mytahelka

Let's spread the love through shayari
I Love You T&C Applied Poetry | Best Valentine poetry by Nidhi Narwal | love poetry in hindi

I love you Terms and conditions applied.

I love you Terms and conditions applied | love poetry in hindi

Hum dono kabhi ek dusre ke lie chand tare falak se todke lane ki kasme nahi khayange,

or hmare bite kal ki bate bhool nahi sakainge to ek dusre ko yad bhi nahi dilayange

tumhare mere khwab hmare honge, hmari ludhakti zeest (Zindagi) me hum dono ek dusre ke sahare honge,

ho beshak hmare bich kitna hi gahra sagar hum magar ek hi samandar se jude uske 2 kinare honge,

ye tera mera vali bate chodni padangi, pr pahle hi bta du ke chai to do se ek na hogi

2 hi kullhad (Matti ka chota bartan) honge chai ke, ha agar man kare to mere vale se 2 ghoot chai ke le lena pr badle me apni chai ke 2 ghoot de dena,

mere sath ek masla (samasya) hai, mujhe ruthna aata hai manana nahi aata… tum mujhe manana sikha dena

koi tareekh bhool jaou to thoda dant kar yad dila dena ruthna mat, chahe halat kitne hi bure kyo na ho …mujhe mohabbat hai tumse ye bhoolna mat.

ab ye tohfe dekho mujhe dene nahi aate… vo is lie kyoki lene hi nahi aate,

khudki pasand se to bss gulab de sakta hu baki kuch bhi puchlo javab de sakta hu,

tumhare siva kabhi kisi or par ye najre uthangi nahi chalo agar uth bhi gai to yakeen mano tikangi nahi

Hmari mohabbat me hame ek dusre se koi befizul ka vada nahi karna…

kyoki ishq karna hai par bohot jada nahi karna…

Bss itna karna hai ke ye zindagi tumhare sath bhi beete or agar kisi roz khuda ka man badal jaye to to ye zindagi tumhare bad bhi beete…

bss itna karna hai ke ye dhadkan or sanse tumhare nam se keval rukna nahi chalna bhi seekhe,

or ha sabse jaruri ke kisi bhi pal tum jana chaho to ja sakte ho, aasman nap kar aa sakte ho

mujhse bahtar ya bahtareen koi mile to bta sakte ho

ye rishta aasman hai hmara  kafas (Pinjda) nahi yahan itni jagha hai ke tum khul kar pankh falasakte ho

vase ek bat or chaho to I love you 2 mat kahna… bss ek bar muskura dena kyoki love rahe na rahe muskan rahni chahiye ishq me bhi tumhari meri pahchan rahni chahiye.

2 thoughts on “I Love You T&C Applied Poetry | Best Valentine poetry by Nidhi Narwal | love poetry in hindi

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.