Mytahelka

Let's spread the love through shayari

Hum Badnam Bewafa Hi Sahi By Hema Kushwaha

Hum Badnam Bewafa Hi Sahi poetry by hema Kushwaha

Pyar na sahi thoda bharosa yar hi kr lete

Har bar na sahi ek bar hi kr lete

Pyar na sahi thoda bharosa yar hi kr lete

Har bar na sahi ek bar hi kr lete

Or lot aane ka vada to dono ne kiya tha

Or lot aane ka vada to dono ne kiya tha…

Aatbar na sahi intzar hi kr lete


Jab hum pass the kuch pyare lamhe sath the

Jab hum pass the kuch pyare lamhe sath the

Or nigahe padhne ka hunar to rakhte the dono

Ke nigahe padhne ka hunar to rakhte the dono

Jane kyu dil me fir bhi aatraz the…

Jab hum pass the kuch pyare lamhe sath the


Jab nikle the dono apni apni manzil ko pane ke lie

Ek vada kiya tha lot aane ke lie

Jab nikle the dono apni apni manzil ko pane ke lie

Ek vada kiya tha lot aane ke lie

Or vada to bakhubi nibhaya unhone janab

Galti humari thi shart hum hi btana bhool gaye -“Akele aane ke lie”

Zahir nahi kiya magar tadpe bohot the ek shaksh ke lie

Sab kuch jante hue bhi chup rah gaye ek shaksh ke lie

Log kahte hai ke usne rat mere intezar me bahar guzari

Log kahte hai ke usne rat mere intezar me bahar guzari

Arey janab kamre me soye hum bhi nahi the ek shaksh ke lie


Or kah rhe hai vo aaj hume bewafa to theek hai hum bewafa hi sahi

Ke unse bichadne ki kashish rahti hai kahi na kahi

Ke unse bichadne ki kashish rahti hai kahi na kahi

Aaj vo nami aashiq hai hum badnam bewafa hi sahi

Socha tha unke pyar me hum Noor ho gye

Unki bewafai ke kisso me mashhur ho gye

Ke Socha tha unke pyar me hum Noor ho gye

Unki bewafai ke kisso me mashhur ho gye

Or kahte hai ke daga humne diya

Or kahte hai ke daga humne diya

Arey jao Miya tumhare chalte to hum khud se dur ho gye

Bohot hua manmani karna…

Bohot hua manmani karna…ab saha gaya humse nahi

Aaj vo nami aashiq hai hum badnam bewafa hi sahi


Accha ek bat btao

Yun bepannah mohabbat karke dagabazi karna sahi hai kya

Koi gam tha to bayan kar dete yu makhane me bath jana sahi hai kya?

Or pine ki hud to tum bhool hi chuke ho

Magar us tavayaf ke sath jana sahi hai kya

Or besharmi ki hud to dekho tumhari

Aagli roz mere darvaze pr aana sahi hai kya

Bat to us din bhi thi…

Magar ab vo bat na rahi..

Aaj vo nami aashiq hai hum badnam bewafa hi sahi


Ishq se ishq karne ki khata ishq me hi hoti hai

Ishq se ishq karne ki khata ishq me hi hoti hai

Or kis ishq me khata na ho kya vo khata ishq hoti hai?!




1 thought on “Hum Badnam Bewafa Hi Sahi By Hema Kushwaha | Sad Poetry Bewafa Ladka

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.