Mytahelka

Let's spread the love through shayari
Har Ek Sankat Ka Hal Hoga Woh Aaj Nahi Toh Kal Hoga Poetry By  Shubham Shyam

Har Ek Sankat Ka Hal Hoga, Woh Aaj Nahi Toh Kal Hoga,

Woh Aaj Nahi Toh Kal Hoga Poetry By  Shubham Shyam

Mana ki hai andhera bohot or charo or nakami hai,

Mana ki thak ke toot rahe or safar abhi durgami hai

Jeevan ki aapa dhapi me jeene ka thikana choot gaya

Mana ki thak gaye sapno ka neendo me aana choot gaya

Mana ki himmat choot gai, aankho me nirasha chai hai…

Mana ki chand pe grahan hai or rat abhi gahrai hai

Pr krishan ke saf kaha hai ke…

Sri krishan ne saf kaha hai ke bas karm tumhara kal hoga…

Or karm agar sacchai hai to karm kahan nisfal hoga…

Har ek sankat ka hal hoga Woh aaj nahi to kal hoga

Loha jitna tapta hai utni hi tagat bharta hai,…

Loha jitna tapta hai utni hi tagat bharta hai,…

Sone ko jitni aag lage woh utha prakhar 

nikharta hai, Hire pr jitni dhar lage woh utha

khoob chamakta hai, Mitti ka bartan pakta

hai…Tab dhun pr khoob khanakta hai…

Suraj jasa banna hai to suraj jitna jalna hoga

Nadio sa aadar pana hai to parvat chod nikalna hoga

Hum adam ke bete hain..kyo soche rah saral hogi

Kuch jada waqt lgega pr sangarsh jaroor safal hoga…

Har Ek Sankat Ka Hal Hoga Woh aaj nahi to kal hoga.

5 thoughts on “Har Ek Sankat Ka Hal Hoga Woh Aaj Nahi Toh Kal Hoga Poetry By Shubham Shyam

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.