Galti Meri Thi Jo Mane Dubara Kisi Se Pyar Kr Liya Poetry By Goonj Chand
LOVE POETRY BY GOONJ CHAND | POETRY
Dil Ki deevare nai kardi hai mane
Dil Ki deevare nai kardi hai mane
Par fir bhi kisikone me purani yado ka jala hai
Par fir bhi kisikone me purani yado ka jala hai
Or tumne to kai hamsafar badal liye apne
Per mera to pasandeeda rang bhi abhi tak kala hai
Uski hatho ki hatheliya jab mere hatho ki hatheliyo ko chuti hain
Lab muskura uthte hain par aksar aankhiyan roti hain
Or us ghar me mohabbat aksar dam tod deti hai izzar ke aage… Jis ghar me kuch ladkiyan hoti hain
Ghar aata nahi tu jabtak mujhe chinta hoti hai
Ghar aata nahi tu jabtak mujhe chinta hoti hai
Rah takti hu teri
Jab aksar duniya soti hai
Or kitni rate jag kar kati hai mane tere lie
Iski gavah bas meri khidkiyan hoti hain
Galti meri thi jo durara kisi se pyar kiya
Na chahte hue bhi kisi pe aitbar kar liya
Na chahte hue bhi kisi pe aitbar kar liya
Or galti meri thi jo dubara kisi se pyar kr liya
“Ke main aisa nahi ke bich raste me tumhe chod dunga
Tum tak aaye jo takleef use main apni taraf mod dunga…”
“Ke main aisa nahi ke bich raste me tumhe chod dunga
Tum tak aaye jo takleef use main apni taraf mod dunga…”
Aisa kahkar usne bhi mujhse jhuta ikrar kar liya
Or galti meri thi jo mane dubara kisi se pyar kar liya
Ki Sadgi hai chahre par dil ki succhi lagti ho
Jeans pahno ka sout mujhe sabme acchi lagti ho
Ki Sadgi hai chahre par dil ki succhi lagti ho
Jeans pahno ka sout mujhe sabme acchi lagti ho
Fir saadi dekar ke hatho mein
Usne bhi dimag ka istemal kar liya
Or galti meri thi jo mane dubara kisi se pyar kr liya
Meri koi bat buri lage to tum mujhse bol sakti ho
Or agar koi raz hai tumhare to mere aage khol sakti ho
Aisa kahkar usne bhi pale vale ki tarah meri pith pe var kar diya
Or galti meri thi jo mane dubara kisi se pyar kar liya
Na chahte hue bhi mane kisi pe aitbar kar liya or galti meri thi ke mane dubara kisi se pyar kar liya…
Also Read
3 thoughts on “Galti Meri Thi Jo Mane Dubara Kisi Se Pyar Kr Liya Poetry By Goonj Chand”