Dusri Mohabbat poetry by Jha Sahab | A Love Poetry | Amritesh Jha
Dusri Mohabbat poetry by Jha Sahab
Meri aankho me ab tak khab zinda hai…
Meri aankho me ab tak khab zinda hai…
Yani abtk mujhme aap zinda hain
Meri aankho me ab tak khab zinda hai…
Yani abtk mujhme aap zinda hain
Mujhe dekhne vale bas yahi kahte hain
Dekho abtak ye lash zinda hai
Har roz dil pr ek naya ghao lagana chod dena chahiye tha
Har roz dil pr ek naya ghao lagana chod dena chahiye tha
Hmare rishte ko br br suljhane se accha ek bar tod dena chahiye tha
Dusri mohabbat se bhi mujhe sirf dard hi mila hai
Pahli mohabbat ke bad mujhe dil lagana chod dena chahiye tha
Chod dena chahiye tha tumhe mujhe mere hi hal par
Ya to tumhe Puri umr guzar kar chodna chahiye tha
Pahli mohabbat ne to sirf mere par kate the
Kam se kam tumhe to is parinde ko mar kar chodna chahiye ha
Khet tumse bichad kar ab tumhare yado ke shikanje me rahna hai
Is parinde ko pahle bata dete ke ise fir se pinjre me rahna hai
Phle bata dete ke tum bhi ek musafir ho
Oro ki tarah tum bhi bss apna dil bahlane aaye ho
Bata dete ke tumhara bhi man hai khelne ka
Or tum bhi bss mere dil se khelne aaye ho
Bata dete ke fir se vahi sab dohraya jayega
Bata dete ke ye ladka fir tumhare hatho bhi thukraya jayega
Bata dete ke mujhe fir til til marna hoga
Bata dete ke mujhe fir usi dard se guzarna hoga
To shayad hum ruk jate apne dard ke dahliz par
Or hum apni pahle mohabbat ke dard se hi ashiqi kr lete
Agar pata hota tum aansu poch kar aasu hi doge
To aansu bahne se pahle aankho me hi khudkushi kr lete
Chod dena chahiye tha tumhe mere aasuo ko bahte hue
Tumhe meri fikr karna chod dena chahiye tha
Is khilone ko kisi ne tod kar diya tha tumhe
Tute hue khilone me yun chabi bharna chod dena chahiye tha tumhe
Chod dena chahiye tha mujhe jhoothi muskurahat ko umeed me
Ya to tumhe is rishte ko ek haseen mod par lakar chod dena chahiye tha
Us bewafa ko to taras nahi aaya mera dil todte hue
Kam se kam tumhe to mujhpe taras kha kr mujhe chod dena chahiye tha
Kher tumhara bhi sitam mujhpar udhar raha
Ek parinda mohabbat me nakam 2 bar raha
Kher tumhara bhi sitam mujhpar udhar raha
Ek parinda mohabbat me nakam 2 bar raha
Na jane kase mukammal ho jati hai logo ki pahli mohabbat
Mera tazurba to mohabbat ka dusri bar bhi bekar raha.
Thank you for your sharing. I am worried that I lack creative ideas. It is your article that makes me full of hope. Thank you. But, I have a question, can you help me?