BHAROSA UTH GYA MOHABBAT SE BY HARSH MENGI
BHAROSA UTH GYA MOHABBAT SE BY HARSH MENGI
Ishq aisa tha hamara
Ke hud se guzarne ko razi ho gye
Ishq aisa tha hamara
Ke hud se guzarne ko razi ho gye
Hum hare khatir teri jeet ke
Or hum hari bazi ho gye
Hum hare khatir teri jeet ke
Hum hari bazi ho gye
Or ibadat teri kiya karte the khuda barabar
Ke ibadat teri kiya karte the khuda barabar
Bharosa uth gya mohabbat se or hum be-namazi ho gye
Dil mangte hai log dil dene ke lie
Mohabbat hai bas ab sode ke lie
Dil mangte hai log dil dene ke lie
Mohabbat hai bas ab sode ke lie
Humne chaha ke ab vo bhi chahe hume
Humne chaha ke ab vo bhi chahe hume
Ek kandha chahiye zindagi dhone ke lie
Ai aashiki dekho kitna ajeeb hai ye humsafar mera
Vo waqt mangta hai, waqt dene ke lie
Or ab sath nahi dhoond rhe kisi ka bhi
Ek takiya dedo moti pirone ke lie
Or zindagi ke jue me mat faso dosto….
Zindagi ke jue me mat faso dosto…
Uski nigahe kafi hai sabkuch khone ke lie
Or bewafao ke lie q kharab kare ye shame apni
Abhi to puri zindagi padi hai rone ke lie
Log kahte hai siyahi (ink) se bharte Ho panne
Janab lahu lagta hai shayar hone ke lie
Log kahte hai siyahi (ink) se bharte Ho panne
Janab lahu lagta hai shayar hone ke lie
Kispar atbar karu maine bohoto ko janch liya
Maine khoya khud ko fir garo me bat diya
Fir numaish lagi makhanon me wafao ki
Wafa sabke hisse mere hisse maine kanch kiya.
Or ghamand hai rat ko agar apne andhere par
Sab choor ho jayega agar mere andar jhank liya
Rakhkar gum apne mahfil me hum gamo ko belibaz karte hain
Karne ko mukkamal ek sher hum unko yad karte hain
Dhokar khai bohoto se magar koi sabak nahi
Jo bhi gale se lagale hum uspar aitbar karte hain
Dil dukha tha kabhi hamara anjam dekhiyea
Apne kisse suna ke hum mahfilen udas karte hain
Or yad karte hai unhe mahaz is shayari ke khatir
Ye mat sochna ke aaj bhi unhe pyar karte hain