BEMATLAB KE RISHTON KO NIBHAYA HAI MAINE BY KARAN GAUTAM | LOVE AND BETRAYAL POETRY
BEMATLAB KE RISHTON KO NIBHAYA HAI MAINE BY KARAN GAUTAM
Mere ghar ki diware or ye darvaja bolta hai
Pukarta hai tujhe vapus aaja bolta hai…
Mere ghar ki diware or ye darvaja bolta hai
Pukarta hai tujhe vapus aaja bolta hai…
Dil kuch is tarah se hukum chalata hai mujhpar
Jase apni praja se koi raja bolta hai
Natije meri mohabbat ke kuch khass to aaye nahi
Pyar se kuch akshar kahe the mane tujhe ras to aaye nahi…
Natije meri mohabbat ke kuch khass to aaye nahi
Pyar se kuch akshar kahe the mane tujhe ras to aaye nahi…
Or tu kahti hai tere jism se aati khushbu mere itr ki
Main kahta hu mere rakib ne churaya hoga shyad
Qki hum pas to aaye nahi
Tere badalte mijaz bta gaya koi
Teri zulfe savarne ka andaj bta gya koi…
Tere badalte mijaz bta gaya koi
Teri zulfe savarne ka andaj bta gya koi…
Or hame lga tha tere makhmali hoto pr hakh sirf hmara hai
Par aaj teri lipstik ka swad bta gaya koi…
Tere badalte mijaz bta gaya koi
Teri zulfe savarne ka andaj bta gya koi…
Tere badalte mijaz bta gaya koi
Teri zulfe savarne ka andaj bta gya koi…
Or hame lga tha tere makhmali hoto pr hakh sirf hmara hai
Par aaj teri lipstik ka swad bta gaya koi
Mera sath gavara nahi koi bat nahi
Is ghar me guzara nahi?
Koi bat nahi
Par main to tumhara tha jiske bina tum rah bhi nahi sakte…
Kya kaha main bhi tumhara nahi…?
Koi bat nahi!!
Dekar dhoka mujhe tera guzara kya hoga
Man marji se dubte to tinke ka sahara kya hoga…
Dekar dhoka mujhe tera guzara kya hoga
Man marji se dubte to tinke ka sahara kya hoga…
Or jisne itni berahmi se bevafai ki hai humse
Vah shaksh kameena hi hoga bechara kya hoga
Ye jhoot hai par ise har dafa likhunga main
Pdh sake ye zamana sara itna safa likhunga main
Tum badke the ye kabse sun rahi hai duniya
Aaj is nazam me khud ko bewafa likhunga main
Tumne manaya hoga main hi nahi mana shayad
Tumko to aata tha mujhe hi nahi aaya nibhana shayad
Tum to chahte the hum janam janam ke lie ek ho jaye…
Main hi nahi chahta the tumko pana shayad
Shyd maine hi intzar nahi kiya hoga
Tumne to kiya tha par mane hi pyar nahi kiya hoga shyad
Chal sari galti meri hai aaj kubul karta hu
Rozana tujhe yad karke waqt fuzul karta hu
Ab in aankho ko tera intzar nahi
Nahi aisa nahi ke tujhse pyar nahi
Bad firse tujhe pa saku itni meri aukat kahan..
Tujhme to hai jan par mujhme vo bat kahan
Kher apni shadi ka bulava dena main aaounga jaroor
Ek ki nivala sahi main khaounga jaroor
Aise kabtak aansuo se pet bharta rahunga
Aise kabtak tujhe yad karta rahunga
Us din sabke sarpar sahre dekhunga main
Puri rat rukh kar sato fere dekhunga main
Vo 7 Vachan jab logi tum…Ishwar ki kasam jab logi tum
Tumhari aankho me sharam dekhni hai mujhe
Us aag ki lapte bhi cheekh uthe aagni itni garam dekhni hai mujhe
Us din ke bad har rat me nachunga main,
Jisdin tumhari barat me nachunga main…
Us din ke bad har rat me nachunga main,
Jisdin tumhari barat me nachunga main…
Koi puchega ke ruksati ke waqt tumhari aankh me aasu q nahi
Main hus kar kah dunga mere mahboob ki shadi hai main nachu q nahi
Jaroorat par apno ko aajmaya hai mane
Phoolo se bhi zakham khaya hai mane…
Jaroorat par apno ko aajmaya hai mane
Phoolo se bhi zakham khaya hai mane…
Or matlab se to rishte tum nibhate ho
Or bematlab ke bhi rishto ko nibhaya hai mane
Ye kiski yad aai hame aadhi rat me
Zuban pr kiski bat aai aadhi rat me..
Ye kiski yad aai hame aadhi rat me
Zuban pr kiski bat aai aadhi rat me..
Paro tale zameen khisak gai vo manzar dekh kar
Jab vo rakeeb ke sath aai aadhi rat me
Uske markhmali se hot, Gulabigal or vo sard rat uske bad barsat aai
aadhi rat me…
Or aaj roko mat jo hona hai hone do,
Or aaj roko mat jo hona hai hone do,
Bade dino me hath aai aadhi rat me
or…
Bahon me lete hue pucha usne ke kitna kama lete ho
Bahon me lete hue pucha usne ke kitna kama lete ho
Yahi bich me aukat aai aadhi rat me
Agle mahine ek rat phone aaya uska or kaha chinta ki koi bat nahi..
Agle mahine ek rat phone aaya uska or kaha chinta ki koi bat nahi..
Tab jakar sans me sans aai aadhi rat me…
Tujhko baksh diya khud ki jan li
Tujhko pana hai bss ye bat than li
Tune btai galtiya zamane ko meri
Chal mane bhi apne kan pakde or galti man li
Tere bina ye zindagi adhuri si hai
Bas tu vapus aaja zaruri si hai
Aajkal meri har duao me tu hai,
Har manzar me tu havao me tu hai
Kalam hai likhne ke lie mere pass bas tera hath chahiye
Mujhe zinda rahne ke lie sirf tera sath chahiye
Kabhi bhi meri yad aaye to vapus aajana
Tez aandhiyo ke sath barsat aaye to vapus aajana
Usi barsat me bahen khol kar tumhara intzar karunga main
Mera pass aana sahi nahi laga tumhe to chalo thodi dur hi chod rha hu
Tumhari yad me pili jitni pini thi mujhe.. aajse puri chod raha hu
Or kisi roz aakar is kagaz ke niche apna nam likh kr jaoge tum
Isi umeed me is nazam ko adhuri chod rha hu…_______
Dekh tera jane par bhi ye zindagi thami nahi
Sabkuch hai mere pass koi kami nahi
Teri yado ko apne zahan se nikal feka humne
Khilkhila uthe hai hum ab aankho me bhi nami nahi
Zindagi ke is safar me akele hi nikal pada hu main
Jahan choda tha tune vahan se to ab chal pada hu main
Ab kisi ko khone ka dar nahi satayega
Manzil ka rasta tujhe koi nahi btayega
Rato ka jugnu bankar tujhe khud rahen dhundhni hai
Jo tere lie sacchi ho acchi ho aisi bate dhundni hai
Koi shikva na uski rusvai se karange
Jisme girange bar bar mohabbat bhi usi khai se karange
Or mere pyar me hi koi kami rahi hogi sochkar…
aagli dafa ka ishq or gahrai se karange.
Your point of view caught my eye and was very interesting. Thanks. I have a question for you.
Your article helped me a lot, is there any more related content? Thanks! https://www.binance.com/es/register?ref=S5H7X3LP
Thank you for your sharing. I am worried that I lack creative ideas. It is your article that makes me full of hope. Thank you. But, I have a question, can you help me? https://accounts.binance.com/pt-PT/register?ref=GJY4VW8W