Mytahelka

Let's spread the love through shayari

“AADHI RAT ME” Poetry by KARAN GAUTAM
"AADHI RAT ME" Poetry by KARAN GAUTAM

Ek chot dil par gahri laga gaye

Mano mot ki saja suna gaye

Ye such hai ke ye zakham ab kabhi bharega nahi

Dil chahkar bhi kisi se pyar karega nahi

Han tere jane se ye duniya begani kagti hai

Meri dastan sunne valo ko ye fakat (Sirf) ek kahani lagti hai

Zakham ab bhi gahra hai taja hai or rahega hamesha

Dekhne valo ko to meri chot bhi purani lagti hai

Aisa koi din to waqt koi pal nahi jata,

Jisme mujkhe tera khayal nahi aata

Neend se jase koi dushmani si ho gai hai

Seene me sanso ki kami si ho gai hai

Ab koi or chuega tujhe ye soch kar pal pal marte rahta hu

Nazme likhta hu or use rat bhar padhte rahta hu

Agar kabhi meri yado se teri azadi ho jaye

Agar kisi or ke sath teri shadi ho jaye

To ho sake to mere ishq ka mujhe dan dena

Apne bete ko mera hi nam dena


Ek Bazar laga mohabbat ka

Sode baji joro se hui…

Kisi ko mila khareedar accha, apni yari choro se hui

Humko humi se churaya usne

Apna kareebi khass btaya usne

Lakeere in hatho se fisal gai

Waqt badla to vo bhi badal gai

Jis din alag hue to mar jaoungi kaha karti thi

Mohabbat hi nahi hmara gussa bhi saha karti thi

Parchai bankar sath rahti thi vo… Dur jane par aankho se bahti thi vo

Koi mane ya na mane shadi to aaphi se hoki “Yar kitni jhoot kahti thi vo”

Uski di hui kuch nishani dekhta hu,

Tu kar main teri nadani dekhta hu,

Aisa hakeem mile to btana hame.. jo kahe “miya aao main har pareshani dekhta hu”

Agar kabhi kismat se kisi raste par takrayange

Na dekhange tumko na apna chahra dikhayange

Kisi anjan musafir ki tarah, Tum bhi gujar jana hum bhi gujar jayange


Is tarah khamosh na raha karo mohtarma

Huskar sabkuch na saha karo mohtarma…

Is tarah khamosh na raha karo mohtarma

Huskar sabkuch na saha karo mohtarma…

Aapke ishare pr to ye jan kurban

Bss apni jan se ek bar kaha karo mohtarma

Or vo kahti hai kisi bhi nam se pukar lo chahe…

kahti hai kisi bhi nam se pukar lo chahe…

Is tarah se yun na kaha karo mohtarma

Ye wafa ki baten to hmare samajh nahi aati

Jinhe samajh aayen ye bate vahan karo mohtarma

Or ungliyan uthane me ye duniya waqt nahi lgayegi…

Ungliyan uthane me ye duniya waqt nahi lgayegi…

Soch kar karna jo bhi jahan karo mohtarma

Chalo bohot karli baten pyar mohabbat ki humne

Koi tareek tay kar ab nikah karo mohtarma


Ye kiski yad aai hume aadhi rat me

Zuban par kiski bat aai aadhi rat me…

Ye kiski yad aai hume aadhi rat me

Zuban par kiski bat aai aadhi rat me…

Or paro tale zamin khisak gai vo manzar dekh kar

Jab vo rakib ke sath aai aadhi rat me

Aaj roko mat jo hona hai hone do

Bade dino me hath aai aadhi rat me

Uske gulabi hoth … vo sard rat. uske bad barsat aai aadhi rat me

Or bahon me hote hue puchna usne “Kitna Kamate Ho”

Yani bich me aukat aai aadhi rat me

Agle manine ek rat phone aaya uska

Kaha chinta ki koi bat nahi hai

Tab jakar sas me sas aai aadhi rat me.

3 thoughts on ““AADHI RAT ME” Poetry by KARAN GAUTAM | DIL CHAHAKAR BHI KISI SE PYAR KAREGA NEHI

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.