Nidhi Narwal’s Poetry “Andheraa” | Heart tuching Poetry
Andhera
Andhera be vajah hi badnam hai
mujhe roshni jada manhus lagti hai
andhera neend mukammal karta hai
roshni kaskar aankho me chubti hai
Mujhse roshni me likha bhi nahi jata
harf dikhte hai lavj dikhte hai
Siyahi (Ink) kalam or kagaj dikhte hai
magar koi jasbat najar hi nahi aata
roshni me Aaskh (Tears) be jhijak bahte nahi
hoth farzi muskate hai
koi dekh na le is roshni me
hum jakhm sabse chupate hai
nahi jate kisi ki najro tak ye jakhm ye dard andhere me hai rahta beparda bekhof aazad
mera har marj andhere me hai
Ye battiya bhuja do abhi ke abhi…
Ye battiya bhuja do abhi ke abhi…
mujhse soya nahi jada bat yah nahi
ye teer ke jasi lagti hai aankho me ke uff jaga bhi jata nahi
Khvabo ko todne vala ye kammbakth savera nahi chahiye
jo aankh khulte hi palko pr afsos de ke hai mera ek khwab tut gaya
mujhe rat pasand hai…
mujhe rat pasand hai…
mujhe hukum se uspar batha us chand ka har dag pasand hai
Andhera hai kya bhala??
Andhera such hai mera
mere kamre or Qalb (Heart) ke halat hai
Andhera gumsudha jasbat hai
beet gya us kal ke jasa or andheta aaj hai
ye aasman to neela hai
ye andhera to parwaaz (Wings) hai un parindo ki
jo kamar se ja takra gye
use le aane ki ishtiaq (“longing” or “craving”) me fir tut kar ghar aagye.
aadha bankar ua yuu kahu ke mere mahboob ka vada bankar
andhera khass hai ek tanha bheed hai khvabo ki
tanhai ka aahsah bhi hai
par andhera tanhai ka sath bhi hai
andhera ek akela baccha hai
jo khof khata nahi Zarb se kisi
jo darta nahi kisi bheed se…
andhera ek akela baccha hai
jo khof khata nahi Zarb se kisi
jo darta nahi kisi bheed se..
jo ladta nahi hai roshni ke teer se
jabki vo aarpar jati hai seene ke theek bich se isne himmat seekhi hai
Andhere ki jurrat mujhse pucho!!
seene me kala dil hai iske
par muddat se tha nahi kala hua hai
vajah yah hai ke isne mohabbat seekhi hai
kitna pakh hai andhera
hr jagha hr satah se ek jasa tum gor se dekho kitna saf hai andhera
takseer zafa ranj me duba hua
zulmat me latpat behad bhadda hai
pr sacha hai andhera
jasa bhi hai roshni se to accha hai andhera
Han,
andhere me meri parchai nahi dikhti
Hubahu mujhe main khud najar aati hu
andhera aaina hai…
andhera aaina hai…
mera aaksh dikhta hai mujhko andhere me
sab kharoche badan par nangi rahti hai
kamre ki gandi deevare gandi rahti hai.. rahgni nahi padti
magar poshida kuch bhi nahi rahta andhere me
roshni me to darandgi bhi nakli si sarafat se rangi rahti hai
andhere me aaksh chupane nahi padte
chahre se shikast ke dhabbe mitane nahi padte
jo main hu.. vo main hu andhere me mujhe nakab lagane nahi padte…
andhere me mujhe nakab lagane nahi padte…
At the beginning, I was still puzzled. Since I read your article, I have been very impressed. It has provided a lot of innovative ideas for my thesis related to gate.io. Thank u. But I still have some doubts, can you help me? Thanks.
Can you be more specific about the content of your article? After reading it, I still have some doubts. Hope you can help me. https://accounts.binance.com/ru-UA/register?ref=FIHEGIZ8
Thanks for sharing. I read many of your blog posts, cool, your blog is very good. https://www.binance.com/uk-UA/register?ref=UM6SMJM3
Great info about crytocurrency!
Your article gave me a lot of inspiration, I hope you can explain your point of view in more detail, because I have some doubts, thank you.