Mytahelka

Let's spread the love through shayari

True Heart Touching Words for Motivation#truelines #hearttouchingwords #celebritiestruelines

 

Also read

Lag gai aag, mere ghar me to bacha hi kya hai or bach gaya main to samjho jala hi kya hai

or apni mahnat ka nateeja hai mukaddar apna verna hatho ki lakeero me rakha hi kya hai.

 

Ek accha khasa such dil se utar deti hai, janbujhkar andekhi duuriyo ko aakar deti hai…

ek accha khasa such dil se utar deti hai, janbujhkar andekhi duuriyo ko aakar deti hai…

jo tumhare bas ki ho vahi bol kar jana, kyuki jhooti umeed insan ko mar deti hai.

 

Aaj ki is duniya me thoda bohot sathranj ka khel aana bhi jaruri hai,

kyoki aajkal log rishto me chal chal rahe hote hai or hum nibhane me lage hote hain.

 

Is duniya me aache log aaksar piche rah jate hain, unki keemat zero ki tarah hoti hai,

zero ki vase to koi keema nahi hoti magar zero jiske sath lagta hai vo bohot keemati ho jata hai.

 

Ki betiyan naseeb se to bete duao ke bad aate hain…

hum ladke hai janab hum kuch zimmederiyo ke sath aate hain

aadhi umar zimedariyea samajhne me gujar jati hai to aadhi use nibhane me,

pura bachpan kitabo me gujarta hai to javani kamane me, ye zimmedareyan umar ke sath badhti hai ye budhape me bhi kam nahi hota, kon kahta hai janab hum ladko ke zindagi me koi gam nahi hota.

kabhi beta bankar to kabhi bap ka farz nibhana padta hai, kabhi khane ke lie nakhre hote hai to kabhi khali pet bhi chalana padta hai,

kabhi maa ki god me sote hai to kabhi jimmdariyo ke bojh me, kabhi nokri ki talash me rahte hai to kabhi sukun ki khoj me, hum har kisi ki takleefe samajhte hai magar apni takleefo ka kisi se jikr nahi karte, jimmedariyo ke puche kuch is tarah bhagte hain ke apni khwashiyo ki bhi fikr nahi karte,

humse har kisi ko umeede hain, magar koi hamse hmari khawashihe puche kisi ka man nahi hota

 

Uski har galti pe datne se pahle sahi galat ka matlab jaroor samjhaounga

usse sorry nahi bulwaounga lekin sorry feel jarur karwaounga

uski mafi se jyada sikhna jaruri hai ye samjhaounga

uske har bar girne par usse nahi uthaounga usse apne pero pr khud khada hona sikhaounga

use mein apni jat jaroor btaounga magar usse vo bada chota nahi hojata ye bhi samjhaounga

use apne dharam ke bareme sikhaounga or dusre dharmo ke bareme bhi btaounga

use andhvishwas or vishwas me anter samjhaounga, ho sakta hai me kahi jagh galat hojaounga

use apni soch se sahi or galat ko pahchanana btaounga, main accha beta na sahi accha bap jaroor banna chahunga

main uski hr khwahish pr mahngai ka tag nahi lgaounga pr usko har ek rupee ki kimat jaroor samjhounga

main use dusro ki izzat karna sikhaounga use self respect ki ahmiyat bhi btaounga

khud accha sochna bura nahi hai ye bhi btaounga

kisi ka bura karke khud ka accha sochna bht bura hai ye bhi samjhaounga

main accha beta na sahi accha baap jaroor banna chahounga

Ye school ke no. na uska bhawishay sawar sakte na bigad sakte hain

insan ko uski sangat sudharti ya bigadti hai

vo kiske sath uthta bethta hai, unke gun avgun

usko behtar ya batar bnate hai

en kagazi ke exam se bahut mushkil imtihan leti hai zindagi beta 

unke aage ye chize bahut choti lagegi

 

Jab aapka nam hota hai ..to rishte bhi vase hi bante hain…or jab aapka nam kharab hota hai to khud ke rishte bhi chod kr bhag jate hain…ye sab chalte rahta hai …ye duniya hai…

 

Struggle” bohot sikhati hai “Success” kuch nahi sikhati,

Success me to sab aapko chadate hai or sab accha lagta hai..

sabkuch accha lagta hai duniya “but the hardship” or mushkil halat se aap guzarte hai na tb hi aapko kuch sikhne ka moka milta hai.

Also read

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.