Mytahelka

Let's spread the love through shayari
“Vo Shaksh Agar Hmara Hota Poetry” by KARAN GAUTAM

Vo shaksh agar hmara hota poetry

Vo shaksh agar hmara hota poetry

 

 

Also read

Aisi konsi majboori aan padi leni jo meri jaan padi…

main to nakab dale gya tha mahfil me

vo pagal lakho me bhi pahchan padi

kase samhaloge mujhe agar tut gai main to,

mana pao-ge kya agar ruth gai main to…

kase samhaloge mujhe agar tut gai main to,

mana pao-ge kya agar ruth gai main to…

najuk si gudiya hu chann se bikhar jaoungi

jo hatho se tumhare choot gai main to,

 

Lagta tha zoro shoro se ek mala sadko par

fir rah gya main bohot akela sadko par

char deevari me hota tamasha to koi bat nahi thi

pr tune to sara khel khela sadko par,

or tut kar ek aashik sohrat se bhi tut gaya

lagata hai ab jo ek thela sadko par

 

Dilne tadapkar jhunjlakar agar ek bat pukara hota,

dilne tadapkar jhunjlakar agar ek bat pukara hota,

vo shaksh jo kisi or ka hai hmara hota

mana hamne to kiya hai badnam sirf mohabbat ko

mohabbat ne to kabhi kisi ko savara hota

maine har kisi ko bataya nahi hai or tumse kuch bhi chupara nahi hai

tere or mere rishte ke alava koi bhi rishta nibhaya nahi hai.

 

In kali andheri rato me tujhe bahud yad karta hu

main aksa akele tanha sa khud se hi bat karta hu

jb khud se hi bat karta hu to log pagal avara samajhte hain

kuch log mere likhne se mujhe bohot nakara samajhte hain

par main samajhta hu ke vo samajhte hai kya

jo garajte hain vo baraste hain kya?

main barasta hu har roj aankho se apni, main barasta hu har roj bato se apni

bato me hi tujhe pane ki har roj faryad karta hu

main aksar akele tanha sa khud se hi bat karta hu

musalsal main bss ek saval ka javab talashta hu

kahin to likha hoga tune vo hisab talashta hu

talashta hu is sare jahan me fakat ek chahra

jisme tu milne aati thi vo khwab talashta hu

pr tu kya tera namo nishan tk nahi dikhta

pahle to itna tha aaj pareshan tk nahi dikhta…

pr tu kya tera namo nishan tk nahi dikhta

pahle to itna tha aaj pareshan tk nahi dikhta…

itni nadani najane kase hui tujhse mujhe to tu itna nadan tk nahi dikhta

badi hi batsaluki aajkal sabhi ke sath karta hu

main aksar akele tanha sa khud se hi bat karta hu.

Also Read

2 thoughts on ““Vo Shaksh Agar Hmara Hota Poetry” by KARAN GAUTAM

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.