“AISA KYA LIKH DOON KI TU LAUT AYE” POETRY BY KEERTY | SAD LOVE POETRY
AISA KYA LIKH DOON KI TU LAUT AYE
Jeb ki khanak sunkar khwahisho ko marte dekha hai…maine sapno ko uchaeo se kai dafa darte dekha hai…
Jeb ki khanak sunkar khwahisho ko marte dekha hai…maine sapno ko uchaeo se kai dafa darte dekha hai…
Zakhmo ko marham se siharte dekha hai, paro ko rikshe ka kiraya bharte dekha hai
Rat me aansuo ko bhikharte dekha hai…
Rat me aansuo ko bhikharte dekha hai… khud ko subha maine firse nikharte dekha hai
Aswikriti dekhi hai tyag dekha hai khud ko baghi sa bagh dekha hai.. neendo ko rato se darte dekha hai…
Maine khud ko sapno ka katal karte dekha hai
Samay ko shoony se bhi niche utarte dekha hai, maine khud ko kuch aise bhi guzarte dekha hai
Main gir jaou agar to utha paoge?…Ishq bohto ne kiya hai tum nibha paoge?
Mujhe yaha rahkar tumse pyar nahi karna hai, Izhar jarna hai lekin beshumar nahi karna hai
Yahan milne par pabandi hai zat pat ka rona hai…Ozhal hoti rate hai bebat ishq ka khona hai…jalne valo ki bate hain, dhundhle hote nate hai
Chal kahi dur chalte hain, Jahan bandishe thodi dheeli hongi or barishe thodi jada gili hongi
Jahan ka aaftab behad gahra hoga or samay bevajah hi tahra hoga… Jahan aankhe num hongi or bate behad hi kam hongi
Jahan aasman gulabi sa chaya hoga or tere chahre pe meri zulf ka saya hoga
Is par na sahi us par to pa lungi tujhe…Us jahan me kisi se chupana nahi pdega
Ishq beintehan hoga lekin batana nahi pdega…
Hath chuta agar to sath gavana nahi pdega, sath na raha agar to ishq bhulana nahi padega
Is jahan me pyar ko halat mar jate hain…Aashik Majnu ho ya Kundan aaksar har jate hain
Kuch chand jhagdo ke piche yahan rishe bhula dete hai log, salo ke pyar ko pal bhar me jala dete hai log… ek pal me apna or ek pal me gar kar dete hain log… rokne ki zid bhi nahi karte or khone se darte hain log
To chal na kahin dur chalte hain jahana milna keval khab na lage pyar bazaro me bikta koi rag na lage
Zahan ruho ka milan ho na baddua ho na zalan ho, Jahan pyar ke bichme dharam na aaye…
Sare aam matha chum lu tera to logo ko sharm na aaye…
Jahan khone pane ka hissab na ho, ek ho jana kissa ya kitab na ho, chal na kahin dur chalte hain.
“Such hai ke jindagi adhuri bohot hai…
Such hai ke jindagi adhuri bohot hai…
Choot gya vo shaksh jo jaruri bohot hai…”
Aisa kya likh du ke tu lot aaye…
Aisa kya likh du ke tu lot aaye…
Samandar ko kinara likhdu…
Ishq me tumhe hamara likhdu…khud ko jhuta tumhe succha likhdu… ya khud ko kan ka kaccha likhdu…
Aaj bate aadhi aadhi likhdu…, such se thodi jada likhdu…, vahi rato vala vada likhdu ya tumko tum se jada likhdu…
Kitni aasan hoti na zindagi agar such me likhne se koi lot aata… Magar afsos likh dene bhar se keval kitabo me ishq mukammal hai aslieat me nahi…
To bol na aisa kya likhdu jo tu lot aaye… Vo khai kasme sari likhdu ya mafi baribari likhdu, Soch se pare koi khab likhdu ya 100 me tujhe 1000 likhdu…, Purani yade sari likhdu ya fir se khud ko tumhari likhdu…Thoda likhdu jada likhdu ya khud ko tujhme aadha likhdu …
Bol na aisa kya likhdu jo tu lot aaye
Such to yah hai ke kalam sirf ishq ko pura likh sakti hai pura kar nahi sakti..
Kalam ishq ko khoobsurat likh sakti hai lekin jakham bhar nahi sakti…
Lekin such yah hai ke ek ashik gir sakta hai tut sakta hai bikhar sakta hai, lekin umeed nahi chod sakta,
Vo kya hai na ke “Zaruri hai har us kash ka boya jana kyoki harti umeedo ka ped sukhta nahi kabhi”
Sacha Pyar kabhi khushyo ko dao pe lgane ka saval nahi karta.