Ladka banana aasan nahin hai | Poetry on Middle class boys in Hindi
Ladka banana aasan nahin hai मिडिल class vale ladko ki jindagi aasan nahi hoti😞😔
Ghar se dur jake kuch padne la sochte hain…
Ghar se dur jake kuch padne la sochte hain…
Padhte padhte fir kuch kamane ka sochte hain,
Yahan sir chupane ki chat ka bhi kiraya bharna padta hai,
Rat bhar ro ke bhi muskurana padta hai,
Jab ghar se phone aaye to sab chupana bhi padta hai, Main theek hu ye kahke maa ka dil bahlana bhi padta hai,
Farmahishe puri hoti thi jahan vo jagha chod ke jana bhi padta hai,
Pahchan bnane ke lie 1000 dhokare khana bhi padta hai,
Maa ke ladle hote hain to bap ki dant bhi sunte hain pr ab dur rahke hr cheez ko taraste hain,
Mushkil waqt pe kuch pareshanio se mil jate hain, buri aadato se bhi mil jate hain or gum chupane ke lie jaam pe jaam bhi pi jate hain
In bade sahro ki ranginiyo me hum apni sham bitate hain,
1000 bar dut ke bhi mutmaeen ho jate hain
Kabhi kabhi hmari sadgi ka duniya fyda utha jati hai…
Kabhi kabhi hmari sadgi ka duniya fyda utha jati hai…to duniya khel jati hai,
Dikhne me lagte hai jitne patthar ke hum… Andar se hote hain utne hi naram hum,
Fir pyar jab hota hai agar hote hai jasbat,
Jo badal ke rakh dete hain hmare halat,
Ye choti si jindagi hum middle class ladko ki hoti hai…
Hazaro pareshanio ke bad bhi chahre pr shikan tak nahi hoti hai,
Jab vo ladka us sahar ko chod ke apne ghar ko nikalta hai to yu bayan karta hai…
“Khatam hua tere sahar se vasta mera…
Ab bulava aagya hai jisne badal diya rasta mera…“
Ye bade sahar ke lie mujhe ras nahi aaye or apne hi dost waqt pe kam nahi aaye…
Din rat mahnat karne ke bad bhi gala ghot ghot kr jeena…Khane ka waqt nahi or kam bahut jada, Izzat kam or pase usse bhi kam, Maa bap ka sath nahi .. or kisi ke kahe pe bharosa ho jaye aisi kisi me bat nahi…
Ae bade sahar bohot karze hain tere mujhpe sab chukaounga bari bari…