IN LAKEERON ME TUM NAHI AAYE POETRY | POETRY BY KARAN GAUTAM
IN LAKEERON ME TUM NAHI AAYE POETRY BY KARAN GAUTAM
Tere Hisse me aai khushiyan, tere hisse me gum nahi aaye,
Tere Hisse me aai khushiyan, tere hisse me gum nahi aaye,
in hatho me sirf lakire aai in lakiro me tum nahi aaye
Fizayen haseen thi havao me ravani thi
Fizayen haseen thi havao me ravani thi…
Mohabbat me meri bhi badi pyari si kahani thi, Ek soch khaye ja rhi hai aaj bhi mujhko
main kase kisi ke pyar me itni deevani thi…
main kase kisi ke pyar me itni deevani thi…
Deevani jise tere alava kuch najar nahi aata tha,
Main itni pagal thi jise jara bhi sabar nahi aata tha,
aata tha sirf sukun jab teri baho me hoti thi, aansuni ki kai siskiyan jo meri aahon me hoti thi,
Tujhe kya pta main kase milne aati thi tujhse,
Tujhe kya pata kitni pareshania raho me hoti thi par sabhi aarchano ko tere sath par karti thi main,
Pagal tujhse bohot pyar karti thi main,
Itna pyar ke tere sath bhag jana bhi mujhe sahi lagta tha, sabhi dushman lagte the ek fakat (Only) rasta vahi lagta tha.
Apne sare dardo ko latka kar shakho par rakha,
Teri sari hi bato ko saraankho par rakha,
Or aankho par rakha sare khabo ko sajakar sari suniya se chipakar…sari duniya se bachakar,
Ab sajne savarne ka bhi koi shock nahi raha,
Dubara bikharne ka bhi koi shock nahi raha,
Par main na chahte hue bhi teri bato me aajati hu,
Kitni besharam hu akele rato me aajati hun,
Par tu bhi to mere itna kareeb aakar bolta tha, aankho me aasu lakar bolta tha,
Jindagi bhar sath rahega kahta tha na tu… or to or meri kasam khakar bolta tha,
Ab bevajah hi har kisi pr tujhe bhadakta dekhti hu – Mere bin majboor sa tadapta dekhti hun,
Dekhti hu bhatakta lachar tujhe,
Ab nahi naseeb mera pyar tujhe,
Agar tu samajh jata vakt par sab kuch to inti bebasi na hoti,
Aankho pr aansu hoto pr jhuthi hasi na hoti,
Pahle fasle pr agar sath de deta na tu,
To mera dusra fasla khudkushi na hoti.