Gir Jana Mera Ant Nahi Poetry by Shubham Shyam | Motivational Hindi Poetry
Gir Jaana Mera Ant Nahi Poetry by Shubham Shyam | Motivational Hindi Poetry
Ki par mein parvaaz ki shakti hai,
Par mein Parvaaz ki shakti hai,
Man mein aagaaz ki shakti hai
Jo chonch mein tinka daale hai
daali par dp aankh takti hai
Woh parakh rahi hai
Toofan ke baaju mein kitni taakat hai
Woh parakh rahi hai toofan ke baaju mein kitni taakat hai
Woh dekh rahi hai duur duur tak
Naam maatr ki rahat hai
Pairon se dhakka daali par,
Pankhon se hawaa dhakeli hai
Pairon se dhakka daali par,
Pankhon se hawaa dhakeli hai
Woh aasman main toofanon se ladti jaan akeli hai
Par lagi saans jab fulne toh toofan ne mauka lapak liya
Par lagi saans jab fulne toh toofan ne mauka lapak liya
Aasman ki ummeedon ko la dharti par patak diya
Par jhaad rahi hai dhul pairo se Rago mein gajab ravani hai
Par jhaad rahi hai dhul pairon se rago mein gajab ravani hai
Chot khane ke bawajood udne ki lalak puraani hai
Tab rakho ghoshna apni-apni apne-apne kanthon mein
Tab rakho ghoshna apni-apni apne-apne kanthon mein
Galat karunga sabit sabko yahaan koi arihant nahi
Gir jana mera ant nahi
Mukhre par dhool lagi mana,
Maatha foota maana lekin
Mukhre par dhool lagi mana,
Maatha foota maana lekin
Gaalon par thappad khaayein hain,
Jabra toota maana lekin
Maana ki aatein ainth gayi,
Pasliyon se lahu nikalta hai
Ghis gaya hai kankar mein ghutna
Aur mirch sareekhe jalta hai
Mana ki saanse ukhad rahi
aur dhakka lagta dhadkan se
Lo Maan liya ki kaanp gaya hai
Puran badan antarman se
Par aankho se angare
Main nathunon se toofan launga
Main gir gir kar bhi dharti par har bar khada ho jaounga
Muthi mein bheench liya taara,
Tum nagar me dhol pita do ji…
Muthi mein bheench liya taara,
Tum nagar me dhol pita do ji…
Ki andhere ho lakh ghane par andhere anant nahi…
Gir jaana mera ant nahi
Also Read
Your point of view caught my eye and was very interesting. Thanks. I have a question for you. https://accounts.binance.com/tr/register?ref=WTOZ531Y