Dil Hai Tere Baap Ki Jagheer Nahi Poetry by Karan Gautam| Lekhakrang | Sad Love Poetry
Dil Hai Tere Baap Ki Jagheer Nahi Poetry by Karan Gautam
Ke tujhse jada khoobsurati hai tujhme
Bas tu kubul karne se katra rha hai…
Tujhse jada khoobsurati hai tujhme
Bas tu kubul karne se katra rha hai…
Jaan zara chap pr aane ye chand kuch jada hi itra rha hai.
Bata mat use jata mat use izhar mat kr bss pyar kar
Ishq sacha hai tera vo tujhe khud mil jayega
Bss sabar kar thoda intzar kar.
Chand me dag hote hai yeh hame tab pata chala
Chand me dag hote hai yeh hame tab pata chala
Jab us chand ko kisi or ke sath rat guzarte dekha.
Beshumar mohabbat hogi us barish ki boond ko bhi is zameen se
Yu hi nahi koi mohabbat me itna gir jata hai
Aadhe hi phul bache hai bagicho me
Aadha bagicha meri raho me hai…
Aadhe hi phul bache hai bagicho me
Aadha bagicha meri raho me hai…
Or aasma ko bhi kubul hai aadhaa chand uska
Qki aadha meri bahun me hai.
Manatte to mang kar dekh li khud ke lie
Chaliyea ab baddua mang lete hain
Tutte hue tare ke dard se lahu ko fark nahi padta
Khudgarzo ki tarah aankhe band karte hai or dua mang lete hai
Hmare chahre par agar jhuti muskan bhi aaye to uske amdar ka dard sirf tum pahchanti ho
Hmare chahre par agar jhuti muskan bhi aaye to uske amdar ka dard sirf tum pahchanti ho
Yu to zamana janta hai main shayariya lkhta hu
Lekin shayariyan mujhe likhti hai ye sirf tum janti ho.
Aapno se daga karlu ya sapno se daga kr jaou
Aapno se daga karlu ya sapno se daga kr jaou
Konsa khuda sunega meri kisko dhudhu kiske dar jaou main
Or is nanhi si zindagi me 2 pal hi to jeena hai mujhe
Or aap chahte hai bhula du sapno ko or aaj hi mar jaou
Na sirf kagaz kalam tujhe likhne ke lie ye rate bhi zaruri hai
Na sirf kagaz kalam tujhe likhne ke lie ye rate bhi zaruri hai
Or ek tasveer se sahare or kitne din guzarunga bhala
Zinda rahne ke lie kuch mulakate bhi zaruri hai
Ab rutba thoda ucha kar liya hai
Or vapus aaye meri zindagi me ye teri takdeer nahi…
Ab rutba thoda ucha kar liya hai
Or vapus aaye meri zindagi me ye teri takdeer nahi…
Main to mar gaya tha kabka ranjha banke pr tu koi heer nahi hai
Or fir laou tujhe zindagi me tadpaou dil is kadar bar bar
Dil hai tere bap ki jagir nahi hai.
Jis Jam se tum pi rhe ho
Usse kabhi hum piya karte the…
Jis Jam se tum pi rhe ho
Usse kabhi hum piya karte the…
Or jin aankho me tumhe tumhari duniya najar aati hai
Us duniya me kabhi hum jiya karte the
Or aaj behad khush hai hum ye raham hai mere khuda ka mujhpar
Verna hum khuda ki kasam bhi unke sir pr hath rakh kr liya karte the.
To kya vo ishq tha?
Qki kabhi jo nazre mera rasta dekha karti thi
Mujhe hi dekh kr jiti marti thi
Aaj vahi nazre kisi or ki nazro me dekh kr pyar ka izhar rhi hai to kya vo ishq tha?
Qki kabhi jo zism meri baho me aane ko tarasta tha
Mere zara se dat dene par uski aankho se badal sa barasta tha
Aaj vahi zism kisi or ki baho me hai or
Aaj bhi main use bhuka nahi hu qki aaj bhi vo chahra meri nigaho me hai to kya vo ishq tha?
Qki kabhi jo aavaj mujhe jagane hasane or manane ke lie nikalti thi
Han mujhe ye bhi yad hai ke tumhi mujhe manati thi chahe meri gati thi
Aaj vahi aavaj kisi or ko satane ke lie nikalti hai
To kya vo ishq tha
Qki kabhi jin palko ka savera tab tak nahi hota tha jabtak vo hamara didar na karti thi
Kahi uski zra zra si nadani se tang aakar main use chod nadu Is bat ko lekar harpal ladti thi
Aaj uski har subha ki vajha suraj ki kuch kirne or kisi or shaksh ka chahra bangya hai
To kya vo ishq tha?
Qki kabhi tum mujhme apni bahen dalkar meri bike ki pichli seet pr batha karti thi
Mere kandhe pr tumhara sir hota tha or tez havaye tumhari zulfo ko chu kar guzarti thi
Par najane kyu aaj havao ki bajaye tumne apna rukh mod liya to kya vo ishq tha?
Tere online hone par bhi
Tere javab na dene par ye samajh ke main pal pal mar rha tha
Ke kahi tu kisi or ki to hone nahi ja rhi thi ye sochkr har pal dar rha tha
Ye ishq hi to tha…
Ab dil mahfilo se darne lag gaya hai
Aankhe kisi or se milne se pahle hi piche hatti hai
Khuda tujhe bhi ek din aisa dikhaye ke tujhe bhi to pata chale ke bhige hue takiye pr rat kase katti hai
Kase chup chupkar roya jata hai
Kase palko ke sath sath hatho ko bhi bhigoya jata hai
Tujhse itna pyar karte hue bhi tujhe tadpane ke bare me soch kar aankhe bhar to aati hai
Lekin main bhi kya kru jahan itni mohabbat
Vahan had se jada nafrat ho hi jati hai
Ai chnad tujhe un taro se behud mohabbat hai main janta hu
Aasman hi tera ghar hai main manta hu
Per mere mahboob se ye vada kar chuka hu
Tujhe uski hatheli pe sajane ka dava kar chuka hu
Pahle bhi kai kasme vade khai hain
unhe dheere dheere pura karunga
Mukaddar me beshak kanto bhari zindagi ho pr ab tere sath hi marunga
Padha likha na sahi main pr unki aankhe padhna bakhubi janta hu
Shyd rab dikhta hai un aankho me hume
Ya fir rab ko unka chahra manta hu
Ai chnad tujhe un taro se behud mohabbat hai main janta hu
Sirf mohabbat hi nahi unse
Vo hamari sanse dhadkan tinka tinka ban gai…
Sirf mohabbat hi nahi unse
Vo hamari sanse dhadkan tinka tinka ban gai…
Vo hamari aadat zarurat jaan zindagi falana dimka ban gai
Hmare sans lene par vo hmare rom rom se ghoom kar aati hai
Is lie sigrate nahi pite hum qki suna hai sigrate se jaan chali jati hai
Yaro ke bina pine ko khe koi
To shyd pilange hum
Par unke bina jeene ko khe koi to mot ka rasta accha hai
Lakh jhoot bole ho magar pr pyar karta hu vasta ye saccha hai
Auro ki kahaniyo ki tarah na to tumhare hoth gulab ki pankhudi hai
Na to tumhari aadao me koi sarara hai
Tum to kudrat ki bnai hui ek sovar si ladki ho
Jisko Zamee par sirf mere lie utara hai
Havaye suhani lagti hain
Unki bate ruhani lagti hain
Fizao me kuch jani pahchani khushbu jan padti hai
Teri saso ki ravani lagti hai
Or kahte hain nam lunga to badnam ho jaogi tum
kahte hain nam lunga to badnam ho jaogi tum
Par such kahu hr khoobsurat manzar me hume shivani lagti hai.
Reading your article helped me a lot and I agree with you. But I still have some doubts, can you clarify for me? I’ll keep an eye out for your answers.