Sharam kahan bech khai tumne Poetry by Karan Gautam | Lekhakrang | Poetry
Sharam kahan bech khai tumne Poetry by Karan Gautam also known as Lekhakrang
Also Read
Poetry
Kya itni hi ki thi padhai tumne
Sharam kahan bech khai tumne
Kya itni hi ki thi padhai tumne
Sharam kahan bech khai tumne
Mujhe karke badnam zamane me
Kitni izzat kamai tumne
Tumhari yad bohot aati hai kya kare
Har rat bohot aati hai kya kare
Tumhari yad bohot aati hai kya kare
Har rat bohot aati hai kya kare
Kisi se bat karte waqt bich me
Tumhari bat bohot aati hai kya kare
Kabhi is or kabhi us or se bandha tha
Kya bataou kitni joor se bandha tha
Kabhi is or kabhi us or se bandha tha
Kya bataou kitni joor se bandha tha
Pinjre me kad panchi bankar jeeta raha main
Jabki aazad hone ko mohabbat ki dor se bandha tha main
Darvaze ke tale tak ne kaha ke abhi na jao tum
Darvaze ke tale tak ne kaha ke abhi na jao tum
Tumhe vasta hai us khuda ka vapus aajao tum
Tumko pana mahaz khone ke barabar hai
Tumko pana mahaz khone ke barabar hai
Tumhara hona bhi na hone ke barabar hai
Bade se samandar me choti si nao bhejange
Hum bhi apne baccho ko chao bhejange
Karainge mahnat kamayange pasa
Jitna rupiya hoga sara gao bhejange…
Jitna rupiya hoga sara gao bhejange…
Budhe bap ki lathi tuti hui hai barso se
Is bar kuch bhi karke ek naya pao bhejange
Or main ek waqt ka khana nahi khata ma samajh jayegi
Is lie gira kar mahgai ka bhao bhejange
Ye Raza hai mere dil ki
Saza mile tumhe tumhare har unha ki vajah mile
Kaza (Mot) mile tumhe or aisi jagha mile
Na samajh ho vha har koi aisi tumhe faza (Mahol) mile
Pata chale tumhe ishq ki tadap ka aahsas ho
Aankho me kuch aansu or mere lot aane ki aas ho
Vahi aas jiske sahare mane itna waqt guzara hai
Vahi dard jisne meri har nazm ko nikhara hai
Vahi aankhe jo tumhari yad me itna roi hain
Vahi aavaj jisne tumhe pal pal pukara hai
Tumhe bhi rato ko chup chup kr rona hoga
Tumhe bhi bhige hue takiye par sona hoga
Tumhe bhi karni hogi bate ishq ki befikri se
Ho jayega fir jo kuch bhi hona hoga
Kuch is tumhara bhi jeena behal hoga
Tumhare bhi zahan me bas ek saval hoga
” Mere begar najane vo kase rahta hoga
Kya uski bhi aankho se dariya bahta hoga”
” Mere begar najane vo kase rahta hoga
Kya uski bhi aankho se dariya bahta hoga”
Koi puchta hoga ke kya ab hum ab sath nahi
Na jane vo pagal sabse kya kahta hoga
Kher is tadap ka bhi tumhe jald hi aahsas hoga
Jab koi mere bohot kareeb bohot pass hoga
Aankho ke un aasuo ko tb chupaogi bhi kase
Log hasange tumpar tum dikhaogi bhi kase
Or meri nazme to sari bate kah hi chuki hai
Koi puchega kuch to btaogi bhi kase…
Koi puchega kuch to btaogi bhi kase…
Kya btaogi bolo…
Tumhe koi pahchanega tab na
Lakh such bolti rahna koi manega tab na
Log kahte hai meri zindagi me aakar koi dafa nahi ho sakta
Mohabbat me koi zada der khafa nahi ho sakta
Log kahte hai meri zindagi me aakar koi dafa nahi ho sakta
Mohabbat me koi zada der khafa nahi ho sakta
Per meri nazm sunne ke bad log aaksar badal kyu jate hai
Ke karan us ladki se jada koi bevafa nahi ho sakta.
Also Read
Your article helped me a lot, is there any more related content? Thanks!