Mytahelka

Let's spread the love through shayari

Poetry and Shayari by Goonj Chand

Badal gaya hai vo par manta nahi

Naye sal ka kuch is tarah aagas karti hu

Naye sal ka kuch is tarah aagas karti hu

Ab main is rishte se tujhe aazad karti hu

Ab meri vjah se tujhe badalne ki zarurat nahi

Or ab meri vjah se tujhe badalne ki zarurat nahi hai

Chalo dosti se is rishte ki shuruaat karti hu


Is rishte ka anjam bakhubi janti thi main 

Is rishte ka anjam bakhubi janti thi main

Isi lie is dil ki nahi manti thi main

Is rishte ka anjam bakhubi janti thi main

Or aaj teri baten seedha dil pe lagi hain

Verna har bat teri bato ko mazak me talti thi main


Katra katra mar rahi hu main…

Katra katra mar rahi hu main…

Ye kis tarah ki mohabbat kar rahi hu main

Katra katra mar rahi hu main…

Ye kis tarah ki mohabbat kar rahi hu main

Or tu bhi na badal jaye ek din sabki tarah

Shyd isi bat se dar rahi hu main


Tumhi ko dene ke lie tumhi se waqt mangti hu main…

Tumhi ko dene ke lie tumhi se waqt mangti hu main

Tum to aaj bhi so jate ho aram se or rat bhar jagti hu main

Or meri bechani ka andaza ek din tumhe bhi hoga meri jaan

Or meri bechani ka andaza ek din tumhe bhi hoga meri jaan

Qki duao me aajkal apni jagha tumhe mangti hu main


Badal gaye hain vo par vo ye bat mante nahi

Or kis tarah karte hai vo nazar hume kya hum ye jante nahi?


Khayal koi jab bhi man me aata hai

Shabdo ka ek jal sa bun jata hai

Khayal koi jab bhi man me aata hai

Shabdo ka ek jal sa bun jata hai

Or jane bade aaram se kase so jate hai kuch log

Or jane bade aaram se kase so jate hai kuch log

Mujhe to khwab bhi aajkal khuli aankho me hi aata hai


Dheere dheere fir vahi hoga

Main rah jaoungi akeli tu sath nahi hoga

Dheere dheere fir vahi hoga

Main rah jaoungi akeli tu sath nahi hoga

Or kahne or karne me bohot fark hota hai meri jaan

Jase main karti hu vase tumse pyar nahi hoga

2 thoughts on “Badal gaya hai vo par manta nahi By Goonj Chand | Poetry | sher oh shyari

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.