Mytahelka

Let's spread the love through shayari

BAS YE NAZM KAAFI NAHI HAI BY KARAN GAUTAM

BAS YE NAZM KAAFI NAHI HAI BY KARAN GAUTAM


Soch tu jab pada hua hoga

To usne kitne khab sajaye honge

Ek bap ne tujhe palne ke lie kitne rishte nibhaye honge

Tere pada hone se pahle hi tera nam soch liya hoga

Fir tere kan me dheere se tera nam gungunaya hoga

Tere nanhe se hatho me apni ungli pakdai hogi

Tujhe bachpan me kai kisse kai kahaniya sunai hogi

Teri mushkilo me teri dhal bane honge

Tujhe chalna sikhaya hoga Teri chal bani honge

Jane kitni hi mushkilo se tujhe pala hoga

Jane Kitni hi mushkilo se tujhe nikala hoga

Teri khwahisho ko pura karne ke lie khoon paseena bahaya hoga

Garibi ke halato ne unhe bhi sataya hoga

Tere samne ek hasta chahra hi rakha unhone

Nahane aasuo ko kahan hi chipaya hoga

Ab tere sath na hone par kami khalti to hogi

Unki aankho me tere lot aane ki umeed palti to hogi

Bap hai na jara sakth rahta hai kisi se kuch bhi jatata nahi hai

Akele me karta hoga beshak khud se bate hume to kuch batata nahi hai

Akele me khud se kahte to honge ke unki parwarish me kahan kami rah gai

Kyou unka aasma ud gaya sar se or sirf zameen rah gai

Tujhe nahi janta unhe rula ke tujhse ye konsa pap ban gaya hai

Is budhape me akela pan jasa shrap ban gaya hai

Ab to unhe samajh ja or apni galti man le

Ab to mere bhai tu bhi ek bap ban gaya hai


Main lakho ki bheed me bhare bazar me tumhari chudi ki khan khan se lekar payalo ki chan chan pahchanane ki kabiliyat rakhta hu

Tumhara ek kahna mere lie kya hai

Tumhari izzat mere lie kya hai

Sab samajhta hu main itni to sahuliyat rakhta hu

Tumhare jase sacche pyar or andar ke us insan ko mane pahchan liya hai

Tumse milkar kuch na sahi to mane itna to jan liya hai ke kahin na kahin mujhe mere karmo ki badolat mili ho tum

Is lie ab mane kismat or khuda dono ko hi man liya hai

Kabhi kabhi main ye sochta hu

Agar tum na hoti zindagi me to mera kya hota

Din bhar bhatakta rato ko jagta main

Bhooka lachar kiska chula takta main

In anguthio ki jagha hatho main gintiya hoti ke sari umar nikalti ja rahi hai

Dekh tere hatho se kismat fisalti ja rahi hai

Par meri zindagi me jab se tum aai ho

Mujhe kisi cheez ki kami khalti nahi hai

Saye main tumhare mahsoos karta hu mahfoos main

Ye dhoop bhi aajkal jalti nahi hai

Meri zindagi ka safar kahan se kahan pahuch gaya hai

Sab ke lie tumhe shukriya ada karta hu

Ha tum karti ho beintehan mohabbat mujhse, main bhi ishq bohot zada karta hu

Jis tarah bhagwan Krishan ne Radha rani ko apne nam se pahle rakha karte hain

Jeevan me kiye gaye har kam se pahle rakha karte hain

Jis tarah Shiv ka aadha aang hain Parvati

Unke jeevan ka rang hain Parvati

Jis tarah shesh nag par Vishnu sangh virajit hain Laxmi

Usi tarah tumhare bhi roop me vibhajit hai Laxmi

Jab bhi dua karta hu yahi karta hu ke hamara sath hamesha bana rahe

Sir pr bhi humara bujurgo ka hath hamesha bana rahe

Tumhari masoom si saksiyat me zara bhi chalaki nahi hai

Mere pass tumhari tareef me ab or shabd baki nahi hai

Is nazm ko isi haseen mod pr chod rha hu

Pr tumhara kirdar likhne ke lie bss ye nazm kafi nahi hai.







Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.