Main Hindu Or Vo Musalman Thi Poetry by Jha Sahab | Amritesh Jha Sad Poetry
Main pandit ji ka beta tha vo kazi sahab ki beti thi
Discrimination:- Yah poetry keval entertainment ke lie likhi gai hai Jha Sahab (Amritesh Jha) is poetry ko keval pyar batne ke lie hum share kr rhe hai. Hum kisi bhi vyakti ko kisi bhi tarah se hani nahi pahuchana chahte.
Jo goonj rhi thi mere Kano me
vo uske shadi ki sahnai thi
Main kaliya bicha rha tha raho main
Aaj mere jaan ki vidai thi
Main vahin mandir me batha tha
Par aaj vo doli me bathi thi
Main pandit ji ka beta tha vo kazi sahab ki beti thi
Har dargah me dhaga bandha mane
Har mandir me matha teka tha
Main ishwar aalah sab bhool gya jab usko jate dekha tha
Sookh chuki thi sab kaliya
Har gali sunsan thi
Sookh chuki thi sab kaliya
Har gali sunsan thi
Kal tak thi jo mohabbat meri
Aaj kisi or ki begum jaan thi
Sookh chuki thi sab kaliya
Har gali sunsan thi
Kal tak thi jo mohabbat meri
Aaj kisi or ki begum jaan thi
Ishq se wakif thi vo lekin mazhab se anjan thi
Bas galti itni si thi hamari ke main hindi or vo musalman thi
ke main hindi or vo musalman thi
Bilakta rha main rat bhar jab sara zamana soya tha
Bilakta rha main rat bhar jab sara zamana soya tha
Akele ashk nahi the meri aankho me vo kazi bhi utna hi roya tha
Har dard samhal kar rakha mane
Kya bigada tha zamane ka
Kisi ne gum manaya judai ka
To kisi ne jashan banaya uske aane ka
Main usse mohabbat karta tha
Vo mujhse mohabbat karti thi
Main usse mohabbat karta tha
Vo mujhse mohabbat karti thi
Main pandit ji ka beta tha vo kazi sahab ki beti thi
Ruh padi thi pass me mere
Jisam uske pass me tha
Ruh padi thi pass me mere
Jisam uske pass me tha
Ishq mukammal ho gya uska jab agli subha uske ghr me uski lash mili
Subha ek zakham or mila…
Subha ek zakham or mila…
Rat ka zakham abhi bhi taza tha
Rat me doli uthi uski subha uska janaza tha
Sab mazabhi kide aaya vha pr
Sab mazabhi kide aaya vha pr
Apne apne mazhab ki boli lekar
Main bhi gaya tha janaze me uske uske nam ki doli lekar
Tinka tinka bikhra tha main
Tinka tinka bikhra tha main
Mere aankho ke aage puri dastan thi
Jisam thanda pada tha uska lekin chahre par muskan thi
Tinka tinka bikhra tha main
Tinka tinka bikhra tha main
Mere aankho ke aage puri dastan thi
Jisam thanda pada tha uska lekin chahre par muskan thi
Ishq se wakif thi vo bas mazhab se anjan thi
Or bad galti itni si thi hamari ke main hindu or vo musalman thi
Kabhi main usme sanse leta tha kabhi vo mujhme sanse leti thi…
Kabhi main usme sanse leta tha kabhi vo mujhme sanse leti thi…
Main pandit ji ka beta tha vo kazi sahab ki beti thi
Mujhe uske jane ka gum nahi
Aakhir tak kon sath nibhata hai
Mujhe uske jane ka gum nahi
Aakhir tak kon sath nibhata hai
Lekin mazhab mazhab karne valo…
Mazhab bhi pahle pyar sikhata hai…
Ishq mukammal ho jaye sabka, kisi me mazhab ka dar na ho
Ishq mukammal ho jaye sabka, kisi me mazhab ka dar na ho
Bas khwahish itni si hai meri…ke fir meri jagha koi or na ho.
I don’t think the title of your article matches the content lol. Just kidding, mainly because I had some doubts after reading the article. https://accounts.binance.com/cs/register?ref=UM6SMJM3