Mytahelka

Let's spread the love through shayari
Tumne Mujhe Roka Bhi To Nahi poetry By Goonj Chand

Tumne Mujhe Roka Bhi To Nahi poetry By Goonj Chand

Poetry by goonj chand




Vo daga kare main wafa karu

Vo jfa kre main dua kru
Vo daga kare main wafa karu
Vo jfa kre main dua kru
Vo kare ibadat garo ki
Main uski puja kiya kru
Vo daga kare main wafa karu

Vo jfa kre main dua kru

Vo jhagda kre main sulah kru
Vo nasha kre main rah uski taka kru
Vo jhagda kre main sulah kru
Vo nasha kre main rah uski taka kru
Vo humbister ho garo se
Or main rat rat bhar jaga karu
Vo daga kare main wafa karu
Vo jfa kre main dua kru

Vo zakhm kre main sila kru
Vo nazam padhe to main khila kru
Vo zakhm kre main sila kru
Vo nazam padhe to main khila kru
Vo dard mujhe de rah rah kar
Main fir bhi hasti rha karu

Kru kiya tha maine ye fasla
Tumhe kabhi ye socha bhi to nahi
Kru kiya tha maine ye fasla
Tumhe kabhi ye socha bhi to nahi
Or ho rhi thi main jab dur tumse
Tumne mujhe roka bhi to nahi

Tum rokhte to shyd main Rukh bhi jati
Tumhari khushi ke aage ek bar fir se jhuk bhi jati
Tum rokhte to shyd main Rukh bhi jati
Tumhari khushi ke aage ek bar fir se jhuk bhi jati
Pr rokna to dur ki bat tumne mujhe jhute mu toka tak nahi
Or ho rhi thi main jab dur tumse tumne mujhe roka bhi to nahi

Kyu kr rhi thi main ye fasla tumne ye socha bhi to nahi
Or jb ho rhi thi main dur tumse tumne mujhe roka bhi to nahi

Kya mujhse dur hone ka tumhe aahsas tak nahi hua
Or itne salo me tumhe mujhse pyar tak nahi hua
Kya mujhse dur hone ka tumhe aahsas tak nahi hua
Or itne salo me tumhe mujhse pyar tak nahi hua
Dur hokar bhi tumse maine tumhe aajtak
Choda bhi to nahi
Or ho rhi thi main dur tumse tumne mujhe roka bhi to nahi

Aisa lga ke tum bhi yahi chahte the
Dur hona to chahte the par kah nahi pate the
Aisa lga ke tum bhi yahi chahte the
Dur hona to chahte the par apne mu se kah nahi pate the
Isi lie to dur hone ka reason tumne mujhse pucha tk nahi
Or ho rhi thi main jab dur tumse tumne mujhe roka bhi to nahi

Kyu kr rhi thi main ye fasla tumne Aisa socha bhi to nahi
Or ho rhi thi main jab dur tumse tumne mujhe roka bhi to nahi

3 thoughts on “Tumne Mujhe Roka Bhi To Nahi poetry By Goonj Chand

  1. Your article gave me a lot of inspiration, I hope you can explain your point of view in more detail, because I have some doubts, thank you.

Leave comment

Your email address will not be published. Required fields are marked with *.